Jin bhoot ka saya? Ya nafsiyati bimari! “Schizophrenia”

By:Zoya

Schizophrenia ek nafsiyati bimari hai jis ka shikar ub tak 20 million afrad ho chuke hain lekin elaj 1/3rd afraad se bhi kam ka hua hai aur iss ki waja shayad yeh hai ke loug iss ko jin bhoot ka saya samajh kar ke iss ka elaj hi nahi karwate. Schizophrenia mein “Hallucinations” yani mareez ko aysi cheezain dikhai, sunai aur mehsoos hoti hain jo dar haqeeqat mojood hi nahi hoti. Aur phir iss ke alawa “Delusions”, ghanto, dino aur kabhi hafto ek hi jaga khamoshi se baghair kisi facial expression bethe rehna, khud ko ya dusro par jaan leva hamla karna waghera Delusions unn khayalat ko kehte hain jin ka haqeeqat se tou kui taluq nahi hota lekin Schizophrenia mein mubtala shakhs unn par 100% yaqeen rakhta hai.



Back to List