Aapke Sawal (Episode 1)

By:Zoya

Pehla sawal: Yeh hai ke kya bachon mein paya jane wala Autism spectrum disorder measles ya mumps ki vaccines ki waja se ho sakta hai?

Autism Spectrum Disorder ek neurodevelopmental disorder hai jo ke ammoman genes ya insani dimag ke structure ya function mein tabdeeli ki waja se hota hai. Taham 12 saal ki lambi tehqeeq ke baad bhi iss baat ka kui saboot nahi mila ke Autism, measles ya mumps ki vaccine ki waja se hota hai. 

Dosra Sawal: Delivery ke nazdeek hamla aurat ka castor oil peena labor mein madad karta hai. Medical science iss baray mein kya kehti hai?

Medical science mein iss myth ka kui scientific proof mojood nahi. Taham doctors ke mutabiq Castor Oil ka istemal na tou faida mand hai aur na hi nuksan de. 

Teesra Sawal: Late night snacking waqt se pehle skin aging ki waja ban sakti hai?

Late-night snacking hamari skin mein mojood un enzymes ko kamzor karti hai jo hamein suraj ke UV rays se bachate hain. Lehaza late night snacking na sirf early aging balke skin damage ki bhi waja banti hai.

Chotha Sawal: Khwateen mein early menopause, bhoolne ki bimari dementia ki bhi waja banta hai?

Mumkin hai. Kyun ke jadeed tehqeeq ke mutabiq wo khwateen jo 40 baras se pehle menopause experience karti hain unn mein Dementia hone ke 35% chances ziada ho jate hain.



Back to List