Gharelu Tashadud Aik Qabil e Saza Jurm Hai

By:Zoya

Zoya: Assalam o alaikum Sara.

Sara: Waalaikum salam zoya, kaise ho tum?

zoya: Sara, mein kuch pareeshan hu aur mujhe tumhari madad chahiye.

Sara: Kyun nahi Zoya.

Zoya: Sara.. Mere sath wale ghar se hamesha cheekh o pukar aur ronay ki awazain aati rehti hain… lekin kal tou kaafi dair tak shor hota raha.

Sara: tou Kya tum ne unn ke ghar ja ker waja maloom karne ki koshish ki?

Zoya: Haan Sara, lekin… unho ne darwaza hi nahi khola. Mainy ami se baat ki tou maloom hua ke Feroz bhai ka rawaiya apni bivi ke sath theek nahi aur wo unn ke sath maar peet bhi karte hain…

Sara: Zoya, agar waqai aisi baat hai tou yeh tou gharelu tashadud hai aur humein iss ke victims ki madad karni chahiye..

Zoya: Sara.. iss hi liye mein chahti hu ke tum iss ko report karne mein meri madad karo. Lekin hum report karenge kaise?

Sara:  Zoya, Domestic Violence (Prevention and Protection) Act 2020 ke mutabiq chaar dewari mein khwateen ke sath jismani, jazbati, jinsi aur mashi badsalooki ek sangeen jurm hai jis ki report Ministry of Human Rights ki helpline number 1099 pe call  kar sakte hain.

Zoya: Sara… kya iss jurm ki saza bhi hai?

Sara: Han zoya, Pakistan Penal Code ke mutabiq, iss law ki khilaf warzi karne wale ko 6 mah se le kar 3 saal tak ki saza, aur uss ke sath jurmana bhi aada karna hoga. 

Zoya: Agahi ka bohat Shukriya Sara.

Dosto, ek andazay ke mutabiq Pakistan mein taqreeban 70% khwateen domestic violence yani gharelu tashadud ka shikar hoti hain aur iss ki ek baari waja khwateen ki apne qanooni rights ke baray mein la ilmi hai.



Back to List