Chlamydia Infection kya bachon mein bhi muntaqil ho sakta hai?

By:Zoya

Zoya: Assalam o Alaikum Sara.

Sara: Walaikum salam zoya. zoya humari pichli video ko humare dosto ne bohat pasand kiya aur aaj mein apne unn hi dosto ka STDs yani Sexually Transmitted Diseases se mutaliq ek bohat aham sawal le kar ayi hon.

Zoya: Arey Sara, yeh tou bohat achi baat hai. Tou phir aaj kya sawal lai ho?

Sara: Zoya, hamari audience janna chahti hai ke HIV/AIDS ke alawa kon si aysi STDS hain jo bachon mein muntaqil ho sakti hain?

Zoya: Dosto, Chlamydia sab se common sexually transmit hone wala bacterial infection hai jo ke physical contact se ek insan se dusre insan mein muntaqil hota hai, aur infected maa se  bachay mein bhi muntaqil ho sakta hai.

Sara: Zoya, Kya Chlamydia bhi HIV/AIDS ki tarha maa se bachay mein breastfeeding ke doran muntaqil ho sakta hai?

Zoya: Nahi Sara.. Chlamydia sirf paidaish ke amal ke doran hi infected maa se bachay mein muntaqil ho sakta hai. 

Sara: Zoya, yeh infection mardon ko ziada mutasir karta hai ya aurton ko? 

Zoya: Sara, WHO ki 2020 ki report ke mutabiq duniya bhar se Chlamydia ke 129 million cases samne aye jin mein ziada sharah khawateen ki thi. 

Sara: Oh hooo! yeh sharah tou khatarnak hadh tak ziada hai. Zoya, Khawateen Chlamydia ki bar waqt tashkhees kese kar sakti hain?

Zoya: Sara, wese tou aksar  khwateen mein Chlamydia ki alamat zahir hi nahi hoti, lekin uski chand eham alamat mein urination ke doran shadeed takleef ka hona, ghair zaroori vaginal discharge, ek mahwari se dusri mahwari ke doran khoon ka ikhraj aur pait ke nichle hissay mein shadeed dard shamil hai. 

Sara: Hmm…. kya Chlamydia qabil e ilaj bhi hai?

Zoya: Jee Haan Sara, Chlamydia bilqul qabil e ilaj hai lekin bar waqt elaj na milne ki soorat mein yeh aur bohat si paichidgiyon ki waja ban sakta hai jis mein HIV/AIDS aur hamal hone mein dushwari bhi shamil hai.

Sara: Maloomat ka shukriya, Zoya.


Zoya: Dosto, Agar aap ka bhi koi sawal hai, tou abhi Zoya ke Instagram ya Facebook page par hum se rabta karein.



Back to List