Bachon Mein Haklahat ki Wajuhat

By:Zoya

Bachon mein stuttering yani haklana darasal speech yani luknat ka masla hota hai. Sahi tarah se alfaaz ki adaigi na kar pana, ek hi lafz ko baar baar dohrana, alfaz ko zaroorat se ziada lamba kar ke bolna, aur bolne mein rukawat hona, “Stuttering” kehlata hai. Bachon mein aam taur par yeh masla 2 se 4 saal ki umar ke darmiyan paida hota hai.

Amooman bachay 2 se 4 saal ki umar mein mukhtalif alfaz ki awaz aur alfaz ki adaigi seekh rahe hote hain. Iss doran agar bache ke dimagh se anay wale messages zuban tak dair se pahonche tou bacha apne munh mein mojood bolne ke liye istemal hone wale muscles ko alfaz ki adaigi ke liye sahi tarah istemaal nahi kar paata, jis ki waja se ya tou wo ek hi lafz ko baar baar dohrata hai ya bohat ziada ruk ruk ke bolta hai. 

Bachay haklane ke douran ankhein jhapkane, munh banane, muthi bana ker hathon ko zor se dabane, aur danton ko peesne jaisi harkatein karte hain. Yeh alamat bachon mein anxiety aur depression ki bhi ho sakti hain. 

Dosto, stuttering ek speech disorder hai jo ke genes aur neurological wajuhat ke alawa aksar aukat parents ki taraf se barti hui ghaflat ki waja se mazeed badtar ho sakta hai. Mahireen ke mutabiq anxiety ya stress directly tou stuttering ki waja nahi ban sakta lekin bacho mein aniety ya stress ka hona stuttering ko mazeed badtar kar deta hai. 

Bachon mein  kam umari mein anxiety ya stress ki waja aksar waldain ka baat baat par dantna, rokna ya tokna hoti hai jo bachon mein waldain ka khauf paida karti hai aur bachon ki khud itemadi ko thais pohanchati hai jis ki waja se bachay aksar waldain se baat karte hue maar ya dant ke darr se haklatay hain. Iss hi tarha agar school mein bachon ke sath dant dapat ya maar peet ki ja rahi ho tou aksar bachay baat karte huwe haklana shuru kar dete hain.

Dosto, aap ki mamooli si laparwahi, bachon ke emotional needs, ya unn ke ehsasat ke baray mein la ilmi, aur aap ki tarbiyat ke tareeqay bachon ki shakhsiyat ko manfi tour se asar andaz kar sakty hain.

Agar aap ka bacha bhi haklahat ka shikar hai aur 6 maheenay se ziada ka waqt guzar chuka hai lekin uss ki haklahat sahi nahi hui tou foran speech therapist se ruju karein. Apna aur apnon ka khayal rakhein.



Back to List