Kya hadh sey ziada khud pasandi ek zehni bemari ho sakti hai?

By:Zoya

Dosto, kya aap ko lagta hai ke aap baqi sab se munfarid ya bohat khas hain? Kya aap ko apni khasoosiat baqi tamam logo se bohat afzal lagti hain? Kya aap chahte hain ke aap ki musalsal tareef hoti rahe? Kya aap khud ko by-aaib samjhte hain? 

Lekin kya log aap ko khud-gharz samajhte hain??? 

Tou yeh Narcissistic Personality Disorder bhi hosakta hai. 

Narcissistic Personality Disorder, ek aisi zehni bimari hai jis mein mubtala afrad apne aap ko apne ird gird ke tamam logo se bohat afzal aur baqi sab ko apne se kamtar samajhte hain. Inn afrad mein mojood personality traits jealousy par mabni hote hain jis ki badolat yeh apne aap ko zaroorat se ziada barha charha kar paish karte hain, aur inn ke apne baare mein khayalat bohat hi ghair haqeeqi hote hain. 

Dosto, hairat angaiz baat tou yeh hai ke Narcissistic Personality Disorder mein mubtala afrad ka aisa bartao mehaz ek bhes hota hai jis ke peeche wo khud mein mojood adam tahafuz, khud-aitmadi ki kami, aur mustarad hone ke khauf ko chupane ki koshish karte hain. 

Narcissistic Personality Disorder ke shikar afrad mein paye janay wale personality traits kafi hadh tak paichida hoty hein. Liken aese afrad mein mojood chand alamat kuch aysi ho sakti hain:

Dosto,  Narcissistic Personality Disorder  ki ek eham waja bachpan mein waldain ki taraf se barti hui ghaflat aur rejection ho sakti hai jis ki badolat bachon mein adam tahafuz paida hota hai aur uss adam tahafuz aur mustarad honay ke khauf par qabu pane ke liye wo khud gharzi ka bhes orh lete hain.

Albata batayi gayi alamat ka hona mamooli baat nahi lehaza inn alamat ke samne annay per foran psychologist se ruju karein aur mukamal ilaj karwain kyun ke kisi bhi shakhs mein aysy traits ka hona uss shakhs ke liye aur uss ke ird gird ke afrad ke liye khatarnak sabit ho sakta hai.



Back to List