5 qawaneen jo har larki ko maloom hone chahiye

By:Zoya

Dosto, aj  mein aap ko 5 aysy eham qawaneen bataugi jo ke aap ko maloom hona zaroori hain. Inn qawaneen ki agahi na hone ki waja se khawateen ke khilaf hone wale jismani, jinsi, aur nafsiyati tashadud ke cases mein khatarnak hadh tak izafa ho raha hai.  

Pakistan Penal Code ke tehat kisi bhi khatoon par hamla karna, uss ke kapray pharna, ya usse iss halat mein awam ke samne lana, ek sangeen jurm hai jis ki nishan dahi pe mujrim ko saza e mout, umar qaid ya umar qaid ke sath jurmane ki saza sunayi ja sakti hai . 

Dosto, agar aap ki workplace pe koi bhi shakhs aap ki toheen karta hai, nazeba alfaz ya awazon ka istemal karta hai, jinsi mutalbat karta hai, tang karta hai, dhamkata hai, ya khauf zada karta hai tou Pakistan Penal Code ke mutabik ye qabil e saza jurm hai aur jurm sabit hone per mujrim  ko sakht se sakht saza sunayi ja sakti hai.

Ghar ki chaar diwari mein khawateen ke khilaf hone walay gharelu tashadud mein qanoon ke mutabiq sirf jismani ya jinsi tashadud shamil nahi balke ya zehni hamlay, dhamkiyan, harasan karne, qaid karne, maali wasail se mehroom karne ka bhi naam hai. Domestic Violence (Prevention and Protection) Act, ke mutabiq yeh ek sangeen jurm hai jis ki saza kam se kam 6 mah qaid ho sakti hai.

Pakistan Penal Code, ke mutabiq agar koi shakhs koi aysa ishara bhi karta hai jis se aap ko ye mehsoos ho ke woh aap ko marrne ya hamla karne ka irada rakhta hai, maslan hath ka uthana, ya dhamki amaiz andaz mein yeh kehna ke “mein tumhein maru ga”  tou wo shakhs aap pe hamla karne ke jurm mein mujrim sabit ho sakta hai.

Agar koi bhi shakhs internet ya social media ke zariye kisi bhi khatoon ki sakh ya izzat ko nuksan pohchanchata ya nuqsan pohanchany ki dhamki deta hai tou prevention of electronic crimes Act, ke tehat  uss shakhs ko 3 saal tak ki qaid ya das lakh rupay tak jurmanay ki saza sunayi ja sakti hai.

Dosto, umeed hai ke aap ki agahi mein izafa huwa hoga aur aap ye agahi dusro tak bhi pohanchayn gy. Apna aur apnon ka khayal rakhein. Mujhe dein ijazat.



Back to List