Corona Vaccine Se Mutaliq Afwahein

By:Zoya

“Corona ki vaccine muzar-e-sehat hai kyun ke yeh itni jaldi tayar hogae thi”, “Corona ki vaccine DNA ko tabdeel ker deti hai”, “Corona ki vaccine main tracking device shamil hai”... kya aap ne bhi Corona ki vaccine ke baray main aysi batein suni hain? Agr haan tou dosto yaqeen maniye in sab baton ka haqeeqat se koi taluq nahi hai. Lekin agar yeh afwahain hain toh phir haqeeqat kya hai? 

Dosto, Jab bhi koi nayi vaccine ya dawai banayi jati hai tou usko aam awam ke liye dastiyab karne se pehle kayi baar laboratory main test kiya jata hai. Issi tarha Corona ki vaccine ko bhi Food and Drug Administration ke zair e nigrani test kiya gaya aur kamyab nataej ke baad awaam ke istemal ke liye mehfooz qarar dia gaya hai. Kisi bhi vaccine ke jaldi ya dair se tayar hone se uski taseer pe koi farq nahi parta. 

Iske alawa yeh kehna ke Corona ki vaccine se aap ke DNA main tabdeeliyan ho sakti hain, sara sar ghalat hai. Coronavirus ke khilaf chaar iqsam ki covid vaccines is waqt istemal main hain jo ke iss ke khilaf humari body main immunity paida karti hai. Coronavirus ke liye istemal hone wali vaccines ya toh humari body main ek aesa protien paida kerti hain jo ke corona virus ki satah per maujood hota hai, jiske natijay mein humara Immune system yani mudafati nizam us protein ko shanakht kar leta hai aur us ke khilaf antibodies paida kerta hai ya phir Coronavirus ke kamzor kiye huwe jarasimon ko humari body mein inject kiya jata hai jis se humara immune system un jarasimon ke khilaf antibodies banana shuru ker deta hai aur mustaqbil mein hamein, Coronavirus ke hamly se mehfooz rakhta hai. Dosto, DNA hamaray jism main mojood khuliyat yani cells ke andar mehfooz hota hai aur koi bhi vaccine DNA tak na pohanch sakti hai aur na he us main tabdeeliyan ker sakti hai. 

Iske alawa social media pe aisi bohat si be-bunyad afwahain mojood hai jin ke mutabiq COVID-19 vaccines khawateen mein banjh-pan ka sabab ban skti hain jab ke Doctors aur researchers ke mutabiq iss baat ka koi saboot nahi hai ke Covid vaccines banjh-pan ki waja banti hain ya haamla khawateen ko kisi bhi qisam ka nuqsan pohanchati hain. 

Kuch afwahon ke mutabiq covid vaccine ke shadeed manfi asraat hote hain aur yeh aap ko bemaar kar sakti hain jab ke haqeeqat yeh hai ke baqi vaccines ki tarha covid vaccine ke side effects bhi mamooli noiyat ke hote hain jesey halka bukhar ya sar dard.

Dosto, kisi bhi suni sunayi baat pe yaqeen karne se pehle kisi mustanid zariye jesey World Health Organisation WHO ki website ya apne qareebi doctor se maloomat zaroor hasil karen. Coronavirus ek alami wabba hai, aur iske khilaf larnay ke liye ye zaroori hai ke aap apni aur apne ghar walo ki vaccination kerwain kyun ke vaccine aap ko Coronavirus  ke hamlay se bacha sakti hai. Apna aur apne pyaron ka khayal rakhain!

Allah Hafiz!

 



Back to List