Waqt sey Pehle Menopause Yani Mahwari Mustaqil Band Kyun Hoti Hai

By:Zoya

Dosto, Kya aap jantay hain? Khawateen mein amooman 45 se 55 saal ki umar ke darmian periods yani haiz band ho jaty hain. Ye aik qudarti amal hai aur isy menopause yani haiz ka band ho jana kehty hain. Ta hum 1 fi sad khawateen mein 40 saal ki umar se pahle hi ovaries yani baizadani fa’al nahi rehti jis se haiz ki bandish ho jati hai isy premature menopause yani qabl az waqt haiz ki bandish kehte hain. Dosto, qabal az waqt haiz ki bandish mukhtalif wujuhaat ke bayis hoti hai. Aiye in wajuhat ka tafseeli jaiza lety hain.

● Qabal az waqt haiz ki bandish mourosi bhi ho sakti hai. Agar aap ke khandan mein kisi khatoon ko qabal az waqt haiz band hony ka masla paish aya ho tau aap main bhi ye shikayat payi ja sakti hai.

● Umar barhny ke sath khawateen mein qudarti tor per reproductive hormone estrogen mein kami aati hai. Jo haiz ke band hony ka bayis banta hai.

● Baaz khawateen jin mein chromosomal abnormalities yani mourosi bemari jesy ke, Turner syndrome waghera moujod hon, un mein bhi ovaries yani baiza dani kaam karna band kar deti hai jis se qabal az waqt haiz ana band ho jaty hain.

● Agar khawateen mein autoimmune disease yani aisi bemari jis mein jism ka quwat-e- mudafiat ka nizam jisam per hamla karna shuru kar deta hai, pai jati ho to is se bhi qabal az waqt haiz ki bandish ho jati hai.

● Baz infectious bemariyan jaisy TB, Malaria wgahera bhi khawateen mein haiz na aane ka bayis ban sakti hain. Albata aisa shazo nadar he hota hai.

● Is ke elawa cancer ki soorat mein Radiotherapy aur chemotherapy treatment se bhi baizadani mutasir hoti hai aur kaam karna band kar deti hai jis se qabal az waqt he haiz ana band ho jaty hain.

● Surgery se uterus yani bacha dani nikalwana bhi ovaries yani baizdaniyon ki karkardagi ko mutasir karta hai jis se haiz ana band ho jaty hain. Qabal az waqt haiz ki bandish ke bayis khawateen ki sehat mutasir ho sakti hai aur khawateen osteoporosis ya dil ki beemario ka shikar ho sakti hain. Lehaza agar kisi bhi waja se aap ke haiz ke mamool main rad-o-badal ho tau doctor se muayena karwayen ta ke iska barwaqt ilaj kiya ja sakay aur sehat ki pecheedgion se bacha ja sakay.



Back to List