Depression (Zehni Dabao) Ki 5 Alamaat

By:Zoya

Depression aik aisi bemari hai jis ki kai tareeqon se nishaandehi ki ja sakti hai. Feelings, mood, ehsasaat ki aisi tabdeelian jo ziada tar ghussay aur gehri udasi numaya karain Depression ki tashkhees karti hain. Dosto, hum sab waqtan fa waqtan udaasi, ghussa, mayoosi wagera se guzartey hein, jo k bilkul normal hey. Magar agar apko lagta hey k yeh di gayi 5 alamaat aik aadat si ban gayi hein aur app chahtey huey bhi inko jhattak nahi saktey tau mumkin hey app Depression ka shikar hon. 1. Bewaja Udasi Ki Kaifiat Depression main mubtala afraad aksar bohat udasi mehsoos karte hain. Jab ke un se sawal kiya jai ke un ki udaasi ki waja kya hai tou wo is ka jawab nahi de patay. Is ki waja ye hai ke aksar depression zada afraad apne ehsasaat ko lafzon main bayaan nahi kar patay. Is ke illawa yeh ehsaat lambe arsay tak jari rehte hain jo andar hi aandar bantay aur phelte rehte hain. 2. Kamtari Aur Na Umeedi Ke Jazbaat Kya aap kisi aise shaks ko jante hain jo zahiri taur par bohat zaheen, khoobsoorat, qabil ho magar apne aap ko har mauke par kamtar samjhta ho yahan tak ke usay apni qabiliat ki koi ehemiyat nazar na ati ho. Aisa aksar tab hota hai jab bachpan mein us shaks ko hosla afzai na mili ho ya phir wo muslasal tanqeed ka nishana ho khasoosan apney walidain ki taraf se. Is asna main aksar log apni qabiliat par fakhar karne ke bajaye us ko kamzori ya na kafi samajhte hain aur waqt guzarney k sath sath na umeedi ka shikar ho jaatey hein jo depression ki aik barri alamat hey. 3. Pasand Na Pasand Main Tabdeel Hojana Depression ki aik bari alamat ye bhi hai ke aik ke pasand ki cheezain aur mashghalo ko chor dena ya na pasandeda karar dena. Dosto agar aap kisi mazakiya aur khushbash shaks ko jante hain jo khana khana, bahar jana, dosto se milna, khelna etc sab karta ho magar achanak se uska in tamam cheezon se dil uth gaya ho- yani wo ab in sab cheezo main dilchasbi na rakhta ho tou ye deprression ki gehri nishandehi hai. Ye alamat bohat wazih hoti hai khas taur par qareebi family aur dost ehbab ke liye jo asani se ye badlau dekh aur mehsoos kar sakte hain. 4. Ehsasaat Aur Tevar Main Numaya Tabdeelian National Institute of Mental Health ke mutabiq depression main mubtala afraad apni kaifiat aur ehsasaat asani se nai samjha patay. Aksar wo ye sab cheezain apne andar dabai rakhte hain jis ki waja se un par musalsal dabao barhta chala jata hai. Is dabao ki waja se wo apne aap par qabu nai rakh patay jab koi cheez unhe trigger kar jati hai unke tamam jazbaat khul ke aik dum bahar atay hain chahay wo ghussa ya rona wagera ho. 5. Pachtawa Pachtawa aik aisi cheez hai jo depression main mubtala afraad lagataar mehsoos karte hain aur kabhi kabar isko zahir bhi karte hain. Depression ki wajah se wo anxiety ka shikaar hote hain jis ki waja se unko bahar anay janay ka ya logon se milne ka dil nahi karta yahan tak ke gehre doston se bhi duri ikhtiyaar kar letay hain. Jab wo tamam get togethers, mayl jol ke mauke gawa chukay hotay hain tou wo is par bohat pachtawa mehsoos karte hain jo un ki udasi ko dugna kar deta hai. Ye kuch aise alamaat han jo aap apne ird gird doston aur family main dhoond sakte hain. Agar aap ki nazar main koi insaan aise alamat zahir kar raha ho tou fori unki madad karain. Ye bemari bohat jald hawi ho sakti hai jis ke phelne ke baad acha bhala insaan uper di gai kaifiat ka shikaar hojata hai. Therapy, counseling, support groups kuch aise tareeqay hain jo depressed afraad ki madad kar sakte hain. Yaad rakhein k zehni dabao k mareez k liye piyar aur hamdardi bohat aham hey. Thori si hosla afzai usko depression ki tareekiyoun se nikalney mein aham kirdar ada kar sakti hey. Dosto, jismaani sehat k sath sath dimaghi sehat bhi bohat ehem hey aur iss ke baray main baat karna bohat zaroori hai, agahi phelain aur kisi ka dil na dhukain.



Back to List