Covid 19 Mein Naumaulood Bachon Ki Dekh Bhaal

By:Zoya

Bachon ki paidaish maa baap ki zindagi main aik bohat ehem marhala hota hai, jiska intezaar aur ehtemam puray khaandan ke liye aik bara sange meel hota hai. Rawa saal main paida honay walay bachay, degar saalo main paida honay walay bacho se kai mushkil daur main janam le rahay hain. Isiliye walidain ko dugni ehtiyati tadabeer ko mad e nazar rakhte hoye aulaad aur apni hifazat ka khaas khayaal rakhna chahiye. Safai ka Khayaal Safai sutrai ka khayaal tou har nauzaida bache ke liye ehem hai magar Covid 19 ki maujoodgi ki waja se mazeed ehtiyati tadabeer ka paas rakhna nihayat ehem hai. Jaraseem ko bache tak pohanchne se rokna jaraseem ko ghar main daakhil hone se rokne ke barabar hai. Paidaish ke baad aksar maa aur bache ko rishtedaar, dost, ehbaab milne ko atay hain jis ke zariye Covid 19 ke jaraseem bachay tak pohanch sakte hain. Isiliye 'visitation' ka amal bache aur maa dono ke liye nuksaan de hai tou ghar par mehmaan bulanay se guraiz karain aur rishtedaaro se phone ke zariye rabte main rahain. Breastfeeding/Khuraak WHO ki hidayaat ke mutabiq Covid 19 infection ki shikaar ma'ain apne nauzaida bache ko breastfeed kara sakti hain magar is soorat e haal main unhe bache ki jild ko chune se guraiz karna hoga takay bacha bemari ke jaraseem se bach sakay. Maa ke doodh main Covid 19 ke jaraseem nahi paye jatay isiliye maa ke doodh ko bachay ki khuraak ke liye lazmi karar dia hai kyunke ye bachay ki quwat e mudafiat mazboot karta hai. Jo ma'ain bemari ki shidat ki waja se bache ko doodh nai pila sakti un se bache ko alaidha rakha jaye aur bache ki masho numa faida mand powdered milk ke zariye se puri ki jaye. Vaccinations/Shots Vaccinations naumaulood bachon ke liye bohat ehem hain kyunke ye unhe measles, polio aur aisi degar viruses se phelne wali bemarion se bachati hain. Ehtiyati tadabeer apnatay hoye apne bachay ko unke zaroori teekay bawaqt lagwain in main takheer karna bachon ke liye jaan lewa sabit hosakta hai. Is ke liye pehle khud apne qareebi clinic ja kar schedule ki information lein aur phir apne bachay ko le kar clinic jain takay bachay ko kam se kam afshaa kiya jaye. Maa Ki Sehat, Bache ki Sehat Bache ki paidiash ke baad aksar maa'ain post delivery depression ya anxiety ka shikaar hoti hain. Ye kaifiat normal karar di gai hain kyunke ye body main hormonal changes ki waja se paish ati hain, is soorat e haal main maa'on ka bohat khayaal rakhna chahiye pareshani aur stress tension paida karne wali tamam baaton se unhe door rakhain. Bache ki sehat paida hone ke baad bhi maa ki sehat se munsalik hoti hai isiliye sehat mand aur khushhaal maa bache ko bhi sehat mand rakhti hai. In sab ehkamat par amal karain aur apne doctor/clinic se rabte main rahain takay kisi bhi masle par fauri kabu paya jaye. Apne doston aur rishtedaaro se rabte main rahain aur sabar se kaam lain.



Back to List