Antibodies Test Kya Hai Aur Ye Kyun Zaroori Hai?

By:Zoya

ANTIBODIES kisi beemari ya virus ke khilaf qudrati mudafat faraham karti hain. Aiye jantay hain ke covid19 ke case main antibody test kyun zaroori hai. 1. Antibodies test kya hai? Dosto, antibodies qudrati taur pe kisi bemari ke khilaf jism main janam leti hain jo us marz ke jaraseem se larti hain. Antibodies test ke zariye ye jana ja sakta hai ke khwah maazi main aap ke jism main coivd 19 infection maujood tha ya nahi. Is test ko serology test bhi kaha jata hai. Is test ka maqsad ye janna bhi hota hai ke aik shaks ki quwat e mudafiyat ne bemari ke khilaf kis tarhan ka rad e amal dikhaya hai. 2. Antibody Test Kis Tarha Kiya Jata Hai? Sab se pehle aap ka blood sample liya jata hai. Phir is blood sample ko SARS-CoV-2 ke khilaf bannay wali 2 antibodies ke liye parkha jata hai. Ye 2 antibodies hain: ∙ IgM antibodies- jo infection phelne ke shuru main banti hain ∙ IgG antibodies- jo infection phelne se kuch arse baad paida hoti hain Ziada tar logon ke sample main IgG antibodies alamaat zahir hone ke 14 din baad janam leti hain. Aur infection ke khatam hone ke bad bhi kafi arse tak khoon main maujood rehti hain. Lekin ye maloom nahi ke ye antibodies kitni mudat tak rehti hein. 3. Ye Test Kyun Zaroori Hai? Antibodies test baqi tests se mukhtalif hota hai. Baqi test sirf ye wazeh karte hain ke aik shakhs Covid munfi hai ya musbat, iske illawa wo aur kuch zahir nahi kartay. Jabke antibodies test se na sirf covid19 ki tashkhees mumkin hai balke ye bhi pata chalta hai ke is shakhs main is virus se larney ki mudafat hai ya nahi aur ye shakhs kis had tak is virus se lar sakta hai. Antibodies test musbat anay ka matlab ye nahi ke wo shakhs ab khatre se bahar hai aur us ko SOPs par amal karne ki koi zaroorat nahi. WHO ke mutabiq Covid 19 ya SARS ki antibodies hone ka matlab ye nahi ke us shaks ko bemari phir nahi lag sakti. Antibodies hony ke bawajood infection paida hone ke imkanat hote hain. Dosto, lehaza antibodies honay ke bawajood bhi tamam logon ki tarha har tarha ki ehtiyat baratni chahiye.



Back to List