Nauzaida Bachon Ke Liye Vaccine Ki Ahmiyat

By:Zoya

Vaccination, shots ya immunization yani hifazati teekay nauzaida bachon ko bohat si beemariyon se mehfooz rakhtay hain. Kyun ke vaccination se bachon main beemariyon se muqabla karnay ki quwat paida hoti hai. Vaccine ki ahmiyat kya hai aur naumaulood bachon ko vaccinate karana zaroori kyun hai? Aiye jantay hein. 1. Beemarion se bachao Vaccine viruses aur bacteria se phelne wali beemarion ke khilaf bachay main quwat-e-mudafiyat barhati hai takay un beemarion se bacha mehfooz rahay. Ye beemarian koi aam bemarian nahi balke sangeen aur jaan lewa hain, jin se puri zindagi ke liye mazuri ya maut bhi waqya ho sakti hai. In beemarion main polio, measles, tetanus aur deegar aisi bemarian shamil hain. In tamam beemarion ka vaccine ke ilawa koi hal nahi isi liye in se bachne ke liye bache ki vaccination karana zaroori hai. 2. Mehfooz Aur Muasar Ilaaj Vaccines bila shuba viruses, bacteria aur deegar beemariyan phelane walay jaraseem ke khilaaf mehfooz aur muasar hal hai. Ye jadeed science dano aur aala doctors ki koshishon se banayi jati hai takay nauzaida bache ko shuru ke saalon main sangeen beemrion se bachaya ja sake. Vaccine ke istemaal se thori si takleef zaroor hoti hai kyun ke injection ke zariye bachon ko shots diye jatay hain magar is main walidain ke ghabranay ki koi baat nahi kyun ye takleef ke kuch lamhe beemarion ke khilaf quwat-e-mudafiyat hasil karne ke agay kuch bhi nahi. 3. Kharchay Aur Pareshani Se Bachao Viruses se phelne wali beemarian bachon ke liye zindagi bhar ki takleef aur mazoori ka bayis banti hain. Dosto, ye takleef aur mazoori sirf aik shakhs tak mehdood nahi balke is ke asraat puri family ko bardasht karne partay hain. Isi liye ye la ilaaj marz jab aik family main ajata hai tou pareshani ke sath sath ilaj ke kharchay ka bojh bhi uthana parta hai. Kyunke aksar cases main musalsal dekh bhal ke liye nurse ya medical staff ki zaroorat hoti hai. Is ke baraks vaccine bachon ko mazoori se bacha kar aap ko be ja pareshani se mehfooz rakhti hai. 4. Vaccine ka Istemaal, Beemari ka Khatma Vaccine ke istemaal se kayi bemarion ko nasal dar nasal phelnay se roka ja sakta hai. Magar kuch aise gharanay hain jo vaccines ke istemaal par itemaad nahi rakhte is waja se wo beemari puri tarhan khatam nahi ho pati. Agar vaccine ka istemaal har khandaan main hojaye tou kayi bemarion ko jar se khatam kiya ja sakta hai. Dosto, afsoos ki baat hai ke Pakistan ab bhi un teen mumalik mein shamil hai, jis main Afghanistan aur Nigeria bhi hain, jo ke poliovirus ka shikaar hain. Iski waja sirf yehi hai ke kayi walidain vaccines ke istemaal se ghabratay hain. Kin wajoohat ke tehat vaccines ko jhutlaya jata hai? • Bohat sey walidain vaccines ko yahoodi sazish ya bairoon e mulk ka mansooba samajhte hain. WHO ke mutabiq la ilmi ke bayis log aisi raye rakhtay hain, jis ke liye agahi phelana aur sawalaat puchna zaroori hai. • Vaccines ko abadi ke rokne ka injection bhi samjha jata hai. Ye baat bilkul man gharat hai jis ka koi saboot nahi. Dosto, vaccines bachon ko beemariyon se mehfooz rakhti hain. Nauzaida bache kyunke kamzor hotey hain aur beemari ke khilaf nahi lar sakte tou is umer main vaccines hi un ki quwat e mudafiat ko mazboot banati hain. Agar aap ke zehan main vaccination ke mutaliq koi shubhaat ya sawalaat hain tou apne doctor se zaroor rujuh karain aur apne bacho ka mustaqbil mehooz banayain.



Back to List