Period Tracker Se Zindagi Asaan!

By:Zoya

Ajkal mukhtalif kamon kay liye dheron mukhtalif mobile applications maujud hain. Period trackers bhi aisi hi mobile applications hain. Jin kay istemal sey aap apni mahwari ko behter manage kar sakti hain. Aiye janty hain kay yeh kaise aapke liye madadgar sabit ho sakta hai. Agar aap aksar apni mahwari ki tareekh bhool jati hain, aur mahwari ho jany per aap kay pass napkin pads maujud nahi hoty. Tau pareshan mat hon. Kyunkay Automated calendar reminders aap ko yaad karwatay hain kay aapki mahwari mein kitne din baqi hain. Jis sey aap ko andaza ho jata hai kay kab aap ko pads apny bag mein rakh lenay chahiye. Kyunkay trackers kay zariye aap apni PMS yani premenstrual syndrome ki alamaat, zehani sehat aur mood swings ka record rakh saktay hain. Iss liye agar unn dino mein aap depression aur anxiety ka shikar ho jayen tau period tracker kay zariye aap ko yeh malum ho jata hai kay iss ki wajah kuch aur nahi balke mahwari hai. Youn aap kay liye apni sehat aur mahwari ko samajhna asaan ho jata hai. Aur aap apney roz-marrah kay kaamon kay liye bhi behter taur pey mansuba-bandi kar saktay hain. Period tracker kay zariye aap jaan saktay hain kay aap ki mahwari ki routine kya hai. Lehaza agar aapki mahwari normal date sey bohat pehlay ya bohat deir baad hoti hai. Tau mahwari ka yeh mamool apke pass mehfuz hoga. Youn doctor ko yeh record dikha kar mashwara karna asaan hoga. Agar apko mahwari routine kay mutabiq nahi ho rahi. Tau zaruri nahi kay yeh fikarmandi ki hi baat ho. Mahwari ki routine bigarney ki bohat si wujuhat ho sakti hain, maslan wazan ya exercise ki routine mein tabdeeli, ya phir stress. Lekin baaz auqat mahwari waqt per na hone ki wajah thyroid kay masayel ya PCOS yani polycystic ovarian syndrome bhi ho sakta hai. Iss liye agar period tracker kay mutabiq apki mahwari ki routine theek nahi hai yau doctor sey mashwara zarur karein. Tau intezar mat kijiye, koi bhi authentic period tracker app download karein jaisey kay “Zoya period tracker” aur apni zindagi ko banayein asaan.



Back to List