Keel Mohasson Ki 8 Wujoohat

By:Zoya

Acne aik aisa masla hai jis sey sab hi chutkara pana chahtey hain. Lekin koi nahi janta kay acne hone ki wajah kya hai. Acne ya keel mohasson kay barey mein bohat si farzi baatein mashoor hain. Jo kay zeyada tar ghalat hi hoti hain. Aiye janty hain iss article mein kay acne ki wujuhat kya hain? 1. Teenage kay doran hormones mein tabdeeliyon ki wajah sey oil glands zeyada sebum yani chiknahat banatey hain. Chiknahat sey skin pores yani jild kay masam band ho jatey hain aur keel mohassey bantey hain. 2. Mahwari kay doran bhi hormones mein tabdeeliyan aati hain. Jis ki wajah sey kuch khawateen ko mahwari sey pehlay ya mahwari kay doran acne ho jati hai. 3. Kisi zehani maslay ya allergy kay liye dawayein istemal karna bhi acne ki aik wajah ho sakti hai. Lehaza aap doctor sey mashwara kar kay apni dawayein tabdeel kar sakte hain. 4. Stress ya zehani dabao acne ki buneyadi wajah tau nahi hai lekin stress lenay sey acne mein izafa ho sakta hai. Lehaza khush rehne ki koshish karein aur pareshan mat hon. 5. Garmi kay mausam mein paseena anaa aik qudrati baat hai. Lekin yeh paseena agar kapron mein jazb ho jaye tau hawa jism tak pohanch nahi pati. Jis kay bayes skin pores yani kay jild kay masaam band ho jaty hain aur jism per acne ho jati hai. 6. Iss kay ilawa apko batatey chalein kay British Journal of Dermatology ki aik tehqeeq kay mutabiq agar aapke walidain ko acne ka masla hai tau aapko acne hony ka bohat zeyada imkan hota hai. 7. Acne ka taluq iss baat sey bhi hai kay aap kis qism ki cosmetics istemal kar rahe hain. Kyunkay Oil based cosmetics, lotions aur creams ka istemal karney sey jild kay masaam band ho jaty hain aur keel mohassey bantey hain. Baaz auqat aam sabun bhi jild ko mutasir karta hai. Lehaza oil free cosmetics ka istemal karein. Aur aise sabun khareedein jo jild kay liye nuqsan-deh na hon. 8. Aap ney aksar logon ko yeh kehtay suna hoga kay masaley daar ya chiknayi wali ghizayein, aur chocolates waghera khaney sey keel mohassey banney lagtey hain. Lekin yeh baat kisi tehqeeq sey sabit shuda nahi hai. Phir bhi yehi behter hai kay aap inn ghizaon ka zeyada istemal na karein. Acne kay barey mein zeyada pareshan mat hon. Khush rahein kyunkay khush rehney waley hamesha khubsurat nazar atey hain.



Back to List