Yeast Infection Ki 5 Alamaat Ke Baray Mein Janey

By:Zoya

Insani jism mein qudrati taur pey bohat sey microorganisms maujud hote hain. Jin mein sey kuch fayeda mand hote hain aur baaz ka koi nuqsan ya fayeda nahi hota. Issi tarah Candida albicans bhi aik microorganism hai. Yeh dar asal yeast yani fungus hai, jo jism kay mukhtalif hisson maslan mounh, antariyon, aur vagina mein maujud hota hai aur vaginal thrush ka sabab banta hai. Vaginal thrush yeast infection ki aik qism hai, jis sey vagina aur uska berooni hissa mutasir hota hai. Aiye aap ko batatey hain kay vaginal thrush hone ki kya wujuhat ho sakti hain! Aam taur pey good bacteria fungus ki tadad ko barhne nahi dete. Lekin agar good bacteria ki tadad mein kami ho jaye tau yeast ki tadad mein izafa ho jata hai. Misal kay taur pey kisi bimari ki surat mein ya antibiotics kay istemal kay doran bacteria ki tadad agar kam ho jati hai. Tau yeast infection ho sakta hai. Yeast infection ki alamaat ki shidat ka taluq 2 cheezon sey hai: 1. Fungus ki tadad mein kis qadar izafa hua 2. Immune system ki karkardagi kya hai? Aiye ab jantey hein kay yeast infection ki alamaat kya hain? 3. Kharish: vagina aur uske berooni hissey mein musalsal kharish mehsus hona yeast infection ki alamaat mein sey aik hai. Agar ilaj mein deir ki jaye infection phel sakta hai. 4. Vaginal discharge: sozish aur kharish kay sath sath agar vagina sey sufaidrang ka garha mada bhi kharij hota hai. Tau beshak yeh yeast infection ki alamat hai. 5. Sozish: dard, soojan, tapish aur jild ka surkh hona; yeh sab sozish ki alamaat hain aur iss baat ki nishan dehi karti hain kay apka immune system infection kay khilaf larr raha hai. Agar aap kay khas azaa bhi sozish ka shikar hain tau iska matlab hai kay immune system yeast infection ko rokne ki koshish kar raha hai. 6. Peshab karne mein takleef hona: agar peshab karte huye aap ko takleef aur jalan mehsus hoti hai. Tau yeh bhi infection ya UTI ki alamaton mein sey aik hai. 7. Rash: infection ki wajah sey jild pey rash ho saktay hain. skin rash sey bachne kay liye teiz chemicals wale sabun istemal na karein ya mutasira jaghon pey anti-itching ointments lagayein. Agar aap ko lagta hai kay aap yeast infection ka shikar hain, tau aap ko kya karna chahiye? Aap ko foran kisi gynecologist ya apne family doctor sey mashwara karna chahiye. Yeast infection kay liye gynecologist ointments, creams ya suppositories istemal karne ka mashwara dete hain. Ya kabhi kabhar anti fungal pills bhi tajweez kartey hain. Jin kay istemal sey vagina mein majud fungus ki tadad mamool pey ajati hai.



Back to List