Hormones Ki Tabdeeliyan Aur PCOS

By:Zoya

Aik study kay mutabiq duniya ki har 10 larkiyon main sey 1 aur subcontinent ki har 3 larkiyon mein sey 1 PCOS ka shikar hai. Polycystic Ovarian Syndrome ya PCOS khawateen mein paya jane wala aik masla hai. Jis kay barey mein khawateen ko ilm hona zaruri hai. Aiye aap ko bataty hain kay wo konsi alamaat hain jo PCOS ki nishan-dehi karti hain? PCOS ki alamaat mein shamil hain: 1. Mahwari ka shadeed dard 2. Mahwari routine kay mutabiq na hona 3. Bohat zeyada keel mohassey banna 4. Chehre aur jism kay deegar hisson pey baal ugna 5. Wazan barhna 6. Aur baalon ka tezi girna, waghera. Aam painkillers kay istemal sey inn alamaat sey chutkara hasil nahi kiya ja sakta. Iske ilawa aap ko bataty chalein kay PCOS kisi makhsus umar mein nahi hota. Baaz auqaat PCOS ki alamaat pehli mahwaari kay baad hi nazar aney lagti hain. Aur baaz dafa iska aghaz 20 saal ya uss kay baad hota hai. Asaan alfaz main kaha jaye tau PCOS ki wajah sex hormones mein hone wali gher mamuli tabdeeliyan hain. Sex hormones na sirf aapki nasho-numa balke apke mizaaj par bhi asar-andaz hoty hain. Inn sex hormones main estrogen, progesterone aur testosterone shamil hain. Jab testosterone ki miqdaar jism mein barh jaye tau mahwari ki routine bigarr jati hai. Jiska matlab hai kay ya tau mahwari bohat deir sey hogi ya bohat dino tak mahwari ka silsala jari rahe ga. Baher haal, PCOS ki asal waja tau ab tak dareyaft nahi ho saki. Lekin experts ka khayal hai kay stress aur genes PCOS ki wajah ho sakte hain. PCOS ki wajah sey auraton mein be-auladi aur motapey jaise masayel paida ho sakte hain. Darmiyani umar kay baad PCOS diabetes aur dil ki bimariyon ka bayes ban sakta hai. Agar aap ko mahwari routine kay mutabiq nahi hoti aur aap ko lagta hai kay aap PCOS ki alamaat ka shikar hein tau deir kiye bina aap ko gynecologist sey mashwara karna chahiye.



Back to List