Kya zehni kaifiyat jild par bhi asarandaz hoti hai?

By:Zoya

Depression, anxiety, stress ya inn jaisi degar nafsiyati bimariyan bohat se jismani masail ki waja banti hain wysy hi aap ki mental ya psychological state aap ki skin par bhi asarandaz ho sakti hai.  Aksar auqat skin diseases, ya skin related issues jaise acne, eczema, ya hyperpigmentation, aap ki nafsiyati kafiyat ko asarandaz karti hain aur aap anxiety, zehni tanao ya stress mehsoos karte hain. Iss hi tarah aap ki nafsiyati kafiyat mein manfi tabdeeliyan, maslan kisi sadmay ya hadsay ke baad depression, anxiety, ya stress mehsoos karna aap ki jild mein bhi tabdeeliyon ka bais ban sakta hai.

Anxiety ke shikar afraad mein skin picking yani apni jild ko be-waja cheelne ki aadat ke sath sath skin rashes, aur bohat ziada sweating jaisi alamat bohat ziada aam hoti hain. Stress aksar afraad mein acne, eczema, psoriasis, aur inn jaise bohat si skin diseases ki waja ban sakta hai. Iss ke sath sath Stress, Depression, aur Anxiety jaisi conditions skin diseases ki waja banane ke alawa skin diseases ko mazeed kharab karne mein bhi eham kirdar ada karti hain. 80 feesad afraad jinhen atopic dermatitis yani eczema hota hai, unn ki halat kisi stressful event ya zehni tanao ke baad mazeed bigar jati hai. 

Dosto hota kuch yu hai ke jab aap stress mehsoos karte hain tou aap ka sympathetic nervous system, stress hormones, cortisol aur adrenaline ko release karta hai. Cortisol skin glands mein oil ya sebum ko excessively produce karna shuru deta hai, jis ki waja se jild mein mojood pores band ho jate hain aur aap acne ka shikar ho jate hain. 

Iss ke alawa bohat si psychological conditions internal inflammation yani androoni sozish ki bhi waja ban sakti hain. Aur ye internal inflammation, bohat si skin conditions jaise acne, eczema, aur psoriasis ke taur par aap ki jild par bhi zahir ho sakti hai. 

Stress aap ke immune system ko bhi asarandaz kar sakta hai jis ki waja se aap ki body zaroorat se zyada sensitive ya reactive ho jati hai aur aap ki jild pe rashes, redness, kharish aur dano ki waja banti hai.

Dosto, kisi bhi skin disease, ya skin issue ko treat karne se pehle uss ki waja janana bohat zaroori hai. Aap beshak acne, pimples, ya rash ke liye products use karte rahen lekin agar aap ke skin issues ki waja musalsal liye janay wala zehni tanao hai tou aap ke skin issues kabhi resolve nahi honge. Apne aap ko stress-free rakhne ke liye healthy lifestyle follow karein aur exercise lazmi karein. Apna aur apne ird gird ke logo ka khayal rakhein.



Back to List