Postpartum Depression aur Khawateen ki Muhlik Bemariyon se Chutkara!

By:Zoya

Amoman khwateen delivery ke baad “baby blues” nami ek condition se guzarti hain jo ke dar asal unn ke jism mein anay wali tabdeeliyo ke bais hota hai lekin jo alamat tum bata rahi ho wo Postpartum Depression ki bhi ho sakti hai. Delivery ke baad aksar khwateen mood mein tabdeeli ke alawa depression ki alamat bhi experience karti hain jaise din mein kai bar rona, bache ka khayal na rakh pana, bohat zyada ya bilqul na sona, bhook na lagna ya zaroorat se ziada khana, ya aysa mehsoos karna ke wo maa banane ke qabil nahi. Aur iss condition ko Postpartum Depression kehte hain. Postpartum Depression se bachne ka ek asan tariqa “breastfeeding” hai. tehqeeq ke mutabiq wo khwateen jo delivery ke baad bachon ko breastfeed karwati hain unn mein Postpartum Depression hone ka khatra kam ho jata hai.  Postpartum Depression nahi balke breastfeeding, khwateen mein Urinary Tract Infections, Anemia, aur yahan tak Ovarian Cancer hone ke bhi khatrat ko kam karta hai. Iss ke sath sath Breastfeeding bachon mein kam az kam dou saal ke wakfay ka sab se mehfooz tarika hai.



Back to List