Hamal ke doran depression, Aap ke bache ki jaan le sakta hai!

By:Zoya

Preterm delivery yani waqt se pehle delivery, aur low birth weight ki waja chronic conditions jaise Hypertension, Diabetes ya kuch makhsoos infections ho sakte hain. Lekin kya aap jantay hain ke hamla khatoon ki jazbati ya nafsiyati kafiyat bhi iski waja ban sakti hai. Kya waqai? aysa kaise mumkin hai? placenta hamla aurat ke pait mein palnay walay bache ko zaroori ghizaayat pohanchata hai waise hi placenta hamla aurat ki nafsiyati kaifiyat ke baray mein bhi bache ko chemical signals transfer karta hai. Iss ka mtlb yeh ke agar maa udaas ya pareshan ho tou bacha bhi be-chain rehta hai? Hamal ke doran maa ki jazbati ya nafsiyati kaifiyat bache ke liye jan leva bhi sabit ho sakti hai. Hamal ke doran hamla aurat ka nafsiyati masail maslan anxiety disorders ya depressive disorders jaise Major depression ya mood disorders mein mubtala hona aur apne jazbat pe qabu na rakh pana miscarriage ki waja ban sakta hai aur bachay ke liye jan leva sabit ho sakta hai. Depression ek sangeen lekin qabil e elaj marz hai! Tehqeeq ke mutabiq haar 10 mein se 1 aurat ko hamal ke doran depression ka samna hota hai. Iss ki alamat zahir hote hi psychologist ya psychiatrist ko ruju karein.



Back to List