Kahi aap ke bachay ko Selective Mutism, tou nahi

By:Zoya

Zoya: Selective Mutism ek sangeen anxiety disorder hai jis mein mutasira bacha kuch makhsoos social gathering ya situations mein baat karne se bilqul kasir hota hai, jaise Ali school mein apne class fellows aur teachers ke samne baat nahi kar pata, bilkul waise hi. 

Sara: Lekin Zoya. Yeh hota kyun hai? Matlab Ali ne tou 2 saal mein hi bolna shuru kar diya tha aur wo tou bilqul normal hai.

Zoya: Sara selective mutism abnormality nahi hai. Aur jahan tak iss ke hone taluq hai iss ki kui ek waja nahi. Lekin haan research ke mutabiq ek waja genes ho sakte hain. Maslan agar parents ya kisi family members mein se kisi ko anxiety ho tou bachon mein Selective Mutism ki development ke chances ho sakte hain..

Sara: Zoya kya iss ke kui long-term effects bhi hain?

Zoya: Haan Sara agar iss ka bachpan mein hi elaj na karwaya jaye tou yeh baray ho ker yeh depression, avoidant personality disorder, social phobia ki bhi waja ban sakta hai.

Zoya: Dosto, selective mutism goongapan nahi hai aur na hi yeh kui mazoori hai yeh ek nafsiyati kaifiyat hai jo ba-asani psychotherapy aur language therapy se theek ho sakti hai lehaza iss ki bar waqt tashkhees bohat eham hai. 



Back to List