Khawateen mein amwat ki sab se bari waja!

By:Zoya

Pehla sawal: Rozana kam az kam 5000 qadam chalna aap ko dil ki bimariyo se mehfooz rakhta?

Heart diseases tou sirf bari umar ke logo mein pai jati hain na? Tou kya jawan aur physically fit khawateen ko bhi heart diseases hone ke chances hote hain?

Haan ye baat theek hai ke bharti umar ke sath heart diseases hone ke chances bhi barh jatay hain, lekin agar aap ki family mein cholesterol, hypertension, aur diabetes jaise amraz paye jate hain aur aap unhealthy eating ke sath jismani sargarmi mein bhi involved nahi hain tou aap ko bhi heart diseases hone ka khatra barh jata hai. 

Dosra Sawal: Kiya khwateen mein mard hazrat ki nisbat dil ki bimariyan hone ke chances ziada hote hain?

Mard aur khwateen, donou mein dil ki bimariyan hone ke chances barabar hote hain taham heart attack ya stroke ke baad survival ki sharah khawateen mein qadar e kam hai. 

Teesra Sawal: Kia khawateen ke makhsoos amraz jaise PCOS bhi dil ki bemari ka khatra barha sakty hein?

Khwateen mein Obesity yani Motapa, PCOS, Menopause aur Turner Syndrome, dil ki bimariyo ka khatra barha sakty hein. 

Chotha Sawal: Turner Syndrome kya hai?

Turner Syndrome ek aysi genetic condition hai jo sirf khwateen mein pai jati hai aur unn mein development defects ke sath dil ki kharabi aur mustaqbil mein Angina aur Heart Attack ki bhi waja banti hai.  

Panchawan Sawal: kya hamal se munsalik paichidgiya bhi khwateen mein dil ke amraz ki waja ban sakti hain?

Jee haan inn ke alawa pregnancy related conditions, jaise premature birth, low-birth weight aur pregnancy-induced hypertension yani hamal ke doran hone wala high blood pressure, khwateen mein Cardiomyopathy nami heart disease ki waja ban sakta hai.



Back to List