Cousin Marriage ke Mumkina Khatraat, Aur Kuch Eham Tests

By:Zoya

Sara: Subha bakhair zoya, kesi rahi tumhari morning walk?

Zoya: Kafi refreshing thi, Sara. Aur tum batao kab ho rahi hai tumhare cousins ki shadi?

Sara: Zoya filhal tou mein kafi pareeshan hon, tumhein tou maloom hai ke Pakistan mein cousin marriage bohat aam hai jo ke bachon mein paidaishi bimariyon aur mazoori ki ek bari waja hai..

Zoya: Sara pareeshan na ho, medical science mein iss ka ek asan hal mojood hai 

Sara, mahireen ke mutabiq cousin marriage ki waja se bachon mein muntaqil hone wali paidaishi bimariyon se bachne ka ek asan hal yeh hai ke shaadi tay karne se pehle larka aur larki ke kuch bunyadi tests karwa liye jayen.

Sara: Zoya yeh tests kon se hain? 

Zoya: Sara, sab se eham test Thalassemia ka hai. Thalassemia waldain se bachon mein muntalqil hone wali ek jaan leva khoon ki bimari hai aur agar waldain mein Thalassemia ki kuch alamaat hon tou paida hone waly bachay mein Thalassemia hone ke chances 25% ziada ho jate hain. 

Sara: hmm! Zoya kya iss ke ilawa bhi koi tests mojood hain?

Zoya:  Sara, mahireen ke mutabiq Thalassemia ke alawa blood group test aur medical history ki janch karwana bhi eham hai ta ke warasati amraaz se bacha ja sakay jese dil ki bimariyan, Multiple Sclerosis, Cerebral Palsy, Cystic Fibrosis aur Down Syndrome waghera. 

Sara: Maloomat ka bohat shukriya Zoya. Dosto agar aap ka bhi koi sawal hai, tou abhi Zoya ke Instagram ya Facebook page par hum se rabta karein.



Back to List