Kya HIV/AIDS maa se bache mein bhi muntaqil ho sakta hai?

By:Zoya

Zoya: Assalam o alaikum Sara. 

Sara: Walaikum Salam Zoya. Zoya, aaj mein ek behn ka HIV/AIDS ke mutaliq bohat eham sawal le kar aayi hon. 

Zoya: Kyun nahi, pocho Sara.

Sara: Zoya, Kya HIV/AIDS maa se bache mein bhi muntaqil ho sakta hai?

Zoya: Bilqul Sara, HIV/AIDS hamal ke doran mutasira maa se bachay mein paidaish se pehle aur paidaish ke baad breastfeeding ke zariye bhi muntaqil ho sakta hai.

Sara: Kya waqai? lekin zoya, hamare muashray mein HIV AIDs ke baray mein baat karne ko bura kyun samjha jata hai? 

Zoya: Kyun ke Sara, logo ko iss ke baray mein mukamal agahi nahi hai aur ziadatar loug yeh samajhte hain ke HIV ke muntaqli ka wahid zariya physical relationship hain.

Sara: Zoya, tou phir HIV ek insaan se dusre insan mein aur kin tariko se muntaqil ho sakta hai? 

Zoya: umm.. Sara, dar haqeeqat HIV ki muntaqli ki ek barri waja istemal shuda syringes, blood transfusion, tissue ya organ transplantation, aur bohat se aysy medical procedures bhi hain jin mein sterilization ka khayal na rakha gaya ho aur jaraseem shuda equipments ka istemal kiya gaya ho.

Sara: Maloomat ka Shukriya Zoya!

Zoya: Dosto, kisi bhi tibbi maslay ko sharmindagi ka bais samajh kar uss par baat na karna uss maslay ke baray mein mazeed shak o shubat ko barha deta hai. Dosto, agar aap ka bhi koi sawal hai, tou abhi Zoya ke Instagram ya Facebook page par hum se rabta karein.



Back to List