Khandani Mansooba Sazi Sey Mutaliq Afwahein

By:Zoya

Zoya: Assalam-o-alaikum behno, aaj mein aap sey khandani mansooba sazi ke baray mein baat karne ayi hon aur yeh janna chahti hu ke aap khandani mansooba sazi ke hawalay se kya raaye rakhti hain?

Sara: Zoya, hamari inn behno ke khandani mansooba sazi se mutaliq kuch tahafuzat hain jin ke baray mein aap se kuch sawal karugi. 

Zoya: Kyun nahi Sara. Zaroor pucho.

Sara: En mein se aksar ke khayal mein, khandani mansoba sazi ke tareeqo ka istimal khwateen mein hamla hone ki salahiyat khatam kar deta hai.

Zoya: Arey, aysi afwahain sirf la-ilmi aur agahi na hone ki waja se mashoor hain. Khandani mansooba sazi ke tareeqay tou sirf arzi tor pe hamal ko aap ki tayun karda muddat tak rokte hain, aur aap jab chahain inn ka istimal tarak kar ke phir se hamla ho sakti hain.

Sara: Zoya kya khandani mansooba sazi ke liye istemal ki jani wali pills khawateen meiin motapay ka bais banti hain?

Zoya: Aysa tou kuch nahi hai Sara. Pills aur IUCD yani challa Medical science ke mutabiq khandani mansoba sazi ke mehfooz tareeqay hain. Taham khwateen ka matawazan ghizza khana aur jismani sargarmiyo mein shamil rehna unn ki achi sehat ke liye bohat zaroori hai. 

Sara: hmm.. Yeh tau sabit ho gya hai ke yeh mehaz afwah thi.. Lekin Zoya…aam raaye yeh bhi hai ke khandani mansooba sazi ke liye istemal hone wali pills cancer ka bais ban sakti hain.

Zoya: Sara, ye durust nahi hai balkay, pills se khawateen main ovarian cancer yani beza daani ka cancer aur bacha dani ka cancer honay ke imkanat kam ho jatay hain.

Taham yeh zaroori hai ke aap khandani mansooba sazi ka koi bhi tareeqa apnany sey pehle apni doctor sey zaroor raju kar lein.

Sara: Maloomat ka shukriya Zoya. Dosto, agar aap bhi apni sehat ke masail se mutaliq uljhan ka shikar hain tou abhi Zoya ke facebook ya instagram page par hum se rabta karain!

Iss ke baare mein mazeed malomat jannay ke liye abhi zoya health app free download karein.



Back to List