Bachon Mein ADHD ki Shanakht Karein

By:Zoya

Bachon ka kaam par tawajah barqarar na rakh pana. Ek hi ghalti ko baar baar dohrana. Bholna ya baar baar cheezain guma dena. Zaroorat se ziada aur ghair zaroori baatain karna. Musalsal jismani harkaat mein masroof rehna jese hatho ko hilana, pau zameen par marna waghera, ADHD Attention Deficit Hyper-Activity Disorder ki alamat ho sakti hain jo Pakistan bhar mein 2.94 feesad bachon ko asarandaz karta hai. 

Amoman ADHD ki alamat 3 saal ki umar mein zahir hona shuru ho jati hain. Aye jante hain ke aap apne bachon mein ADHD ki barwaqt shanakht kese kar sakte hain.

Dosto, yeh alamaat bachay ki samaji zindagi mein masail ka bais ban sakti hai jese school ka kaam na kar pana, dost banane mein mushkil pesh ana waghera. Barwaqt tashkhees inn alamaat ki shiddat ko badtar hone se rok sakti hai. Bachon mein inn alamaat ke zahir hote hi child psychologist se zaroor ruju karein.



Back to List