Mahwari ke khoon ke rung mein tabdeeli Kya nishandahi karta hai?

By:Zoya

Mahwari ke doran aane wale khoon ke rang mein tabdeeli infections aur mukhtalif bimariyon ko zahir kar sakti hai. Mahwari ke khoon ka rung aap ki sehat ke mutaliq eham maloomat faraham kar sakta hai jis ke baray mein har larki ko maloom hona chahiye.

Dosto, Haiz ke doran kharij hone wala khoon gehray surkh se gehre bhooray ya siyah rang tak mukhtalif ho sakta hai jis ki waja khawateen ke hormones mein tabdeeli ya unn ki sehat mein kharabi bhi ho sakti hai. Aye jante hain ke mahwari ke khoon ka rung aap ki sehat ke mutaliq kya batata hai.

Aksar khawateen ki mahwari ke shuru ya ikhtitam mein syiah khoon zahir ho sakta hai. Yeh amooman aysy khoon ki alamat hota hai jo bacha dani se kharij hone mein ziada waqt le aur purana ho. Siyah khoon ka ana vagina mein blockage yani rukawat ki bhi nishandahi karta hai. 

Bhoora ya gehra surkh rang bhi siyah khoon ki tarah purane khoon ki alamat hota hai aur yeh mahwari ke shuru ya akhir mein zahir ho sakta hai. Bhooray khoon ya spotting yani khoon ke dhabay lagna baaz auqaat hamal ki ibtidayi alamat bhi ho sakta hai. Jab ke hamal ke doran bhooray rang ke khoon ka ikhraj miscarriage ki bhi nishandahi kar sakta hai.

Jab ke mahwari ke khoon ka roshan surkh hona taazay khoon, aur khoon ke normal bahao ki nishandahi karta hai. Iss ke bar-aks ek mahwari se dosri mahwari ke darmiyan ghair mamooli daagh ya khoon ka ikhraj jinsi tor se muntaqil hone wale infections ki alamat ho sakta hai, jese Chlamydia ya Gonorrhea.

Dosto, kabhi kabhar gehray surkh khoon ka ikhraj cervical cancer ki bhi alamat ho sakta hai, jis ki degar alamaat mein:

Dosto, mahwari ke doran aane wale khoon ya mahwari ke cycles mein wazeh tabdeeli pareshan kun ho sakti hai jis ke liye doctor se ruju karna behad zaroori hai. Apna khayal rakhein aur iss article ko apni dosto ke sath bhi zaroor share karein.



Back to List