Stress Se Aap Ke Chehre Par Hone Wale Buray Asrat

By:Zoya

Dosto, Acne, pimples, jhuriyan, aankhon ke gird siyah halkay, baalon ka girnay, aur waqt se pehle baalon ke safaid honay ki ek eham waja depression, anxiety ya zehni tanao bhi ho sakta hai. 

Tehqeeqat ke mutabiq duniya bhar mein 50% loug stress yani zehni ya nafsiyati tanao ka shikar hain jin mein zyada tadad khawateen ki hai. Jahan zehni tanao depression, anxiety, aur dil ki bimariyon ki afzaish ka bais banta hai wahi iss ke asraat kayi gunna aap ke chehre par bhi zahir hote hain.

Researchers ke mutabiq aysa dou wajuhat ki bina pe hota hai:

Pehla yeh ke jab aap stress mehsoos karte hain tou aap ke jism mein aysy hormones release hote hain jo ke aap mein jismani tabdeeliyon ka bais bante hain aur aap ki jild par manfi asraat maratab karte hain. 

Jab ke dusri surat mein aksar aap stress ki halat mein kuch aysi adaat apna lete hain jo ke mozar e sehat ho sakti hain jese binge eating karna yani zaroorat se ziada ya musalsal khana ya honton ko chabana waghera. 

Dosto, zehni tanao aap ki jild par jo manfi asrat muratab kartay hein un mein sey chand mein aap ko batati hon.

Dosto, agar aap ka zehni tanao ek khas muddat se ziada barh jaye tou fori mahir e nafsiyat se ruju karein. Iss article ko apni dosto ke sath zaroor share karein.



Back to List