Kya Aap Har Waqt Zehni Uljhan Ka Shikar Rehty Hain?

By:Zoya

Dosto kya aap ke moods mein bohat taizi se utar charhao atta hai, zaati taluqaat tanaaziyaat ka shikar rehte hein,  har waqt uljhan rehti hai, apna aap ajnabi lagta hai, jese aap khud ko pehchante hi nahi hain? Iss ke sath sath aap ke self-image, goals, aadat, pasand, na-pasand mein iss hadh tak tabdeeli atti rehti hai ke aap apni pehchan ke baray mein shadeed zehni uljhan ka shikar rehty hein? 

Dosto! Batayi gaye alamat mamooli nahi hain balke ek sangeen nafsiyati bemari Borderline Personality Disorder ki hain jis ki tashkhees taqreeban 75% khawateen mein hoti hai. Borderline Personality Disorder ki chand alamat mein moods mein achanak aur bohat taizi se utar charhao ka samna karna, mamooli baaton par shadeed aur sangeen ghusse ka izhar karna, aur zaati taluqat ko mustehkam rakhne mein dushwari ka samna hona shamil hai. Aye jante hain ke aap Borderline Personality Disorder ki shanakht kese kar sakte hain?

Agar batayi gaye alaamat aap mein mojood hain tou mumkin hai ke aap ko Borderline Personality Disorder ho. Lekin iss ki sahi tashkhees ke liye aap ka mental health professional yani mahir e nafsiyat se ruju karna zaroori hai. 

Dosto, Borderline Personality Disorder ko aksar Bipolar mood disorder se confuse kiya jata hai lekin Borderline Personality Disorder mein moods ka utar charao kisi na kisi baironi wajuhat ki waja se atta hai jab ke bipolar mood disorder mein ziada tar hormonal wajuhat ki waja se atta hai.

Mein umeed karti hon ke aap apna aur apne ird gird logo ka khayal rakhein gi aur iss article ko apni dosto ke sath zaroor share karengi.



Back to List