Khwateen ki Sangeen Bemariyon ki Eham Waja Vitamin D ki Kami

By:Zoya

Dosto, duniya bhar mein taqreeban 1 billion afraad Vitamin D ki kami ka shikar hain aur inn mein zyada tadad khawateen ki hai. Hum bachpan se sunte aye hain ke Vitamin D hamari hadiyon ko mazboot karta hai aur hadiyon ki mukhtalif bemariyon se mehfooz rakhta hai. Lekin kya aap jante hain ke dour e hazir mein hone wali tehqeeqat ke mutabiq Vitamin D cancerous cells ki afzaish ko bhi rokta hai, aur hamare jism mein mojood khuliyon ki sehatmand nashonuma aur unn ki paidawar mein izafay ka bais banta hai. Jab ke iss ke baraks Vitamin D ki kami aap ko mukhtalif bemariyon mein mubtala kar sakti hai jin mein:

Dosto, Vitamin D ek aysa nutrient hai jo khwateen ke mudafati nizam ki sehat aur bahali mein madad faraham karta hai. Iss ke alawa hamal ke doran vitamin D ki kami bachon mein Rickets ki bemari ka bais banti hai. Rickets ek aisi bemari hai jo bachon mein hadiyon ki nashonuma ko mutasir karti hai aur un ki haddiyon ki kamzori ka bais banti hai. 

Dosto, Aap haftay mein 3 din, 15 se 20 minute subha suraj nikalte sath dhoop mein beth kar Vitamin D ki kami ko pura kar sakte hain. Iss ke alawa aap apni ghiza mein aysy khano ko shamil kar sakti hain jin mein Vitamin D ki miqdar achi ho maslan haray rung ki sabziyan, paneer, doodh, aur dahi waghera. Iss ke sath sath aap doctor se ruju kar ke multi-vitamins ka bhi istemal kar sakti hain. 

Umeed hai ke aap ki agahi mein izafa huwa hoga aur aap ye agahi dusro tak bhi pohanchayn gy. Apna aur apnon ka khayal rakhein. Mujhe dein ijazat.



Back to List