Mood pe qabu na rakh panay ki nafsiyati bemari

By:Zoya

Kya aap ke mood mein bohat taizi se utar charhao aata hai? Kya aap ka mood pal bhar mein intehai khushgawar se intehai afsurda ho jata hai? Kya aap ek lamhay intehai pur josh aur zaroorat se ziada khud itemad hote hain? Lekin agale hi lamhay aap apne aap ko be-bas, bekar aur na-umeed samjhte hain? Dosto! Kya aap jante hain ke yeh alamat ek zehni bimari Bipolar II disorder ki bhi ho sakti hain? 

Bipolar II disorder, 2 intehayi mutazad moods ka naam hai jo ke mard hazrat  ki nisbat khwateen mein ziada aam hai. Inn donon mutazad moods mein se ek Depression yani ghair zaoori afurdagi aur na-umeedi mehsoos karna jab ke dusri inteha Hypomania ki hai. Hypomania ek aisi halat ka naam hai jis mein insan mamool aur zaroorat se ziada khush, pur josh aur active hota hai. 

Ummoman Depression aur Hypomania ki alamaat ki muddat aur shiddat mein waqtan fa waqtan tabdeeliyan runuma hoti rehti hain. Lekin aksar aukat hypomania ki alamat, depression ki alamat ke sath hi ya foran baad zahir hona shuru ho jati hain. Jab ke kabhi kabhar hypomania ki alamat taweel ho jati hain aur uss ke baad depression ki alamat zahir hona shuru hoti hain taham depression ki alamat ziada numaya rehti hain. 

Hypomania ki chand eham alamat mein:

 Jab ke iss ki dusri inteha depression hai ki alamat mein:

Yeh alamat ammoman jawani ke ibtedayi saalon mein zahir hoti hain lekin yeh bemari bachon aur nau-umar afrad ko bhi ho sakti hai. Dosto, batayi gayi alamat ka musalsal dou hafton tak rehna khatarnak hai lehaza inn alamat ke zahir hote hi mahir e nafsiyat se ruju karein.



Back to List