Khawateen mein Ovarian Cancer ki Alamat

By:Zoya

Dosto, Ovarian Cancer yani Baiza dani ka cancer duniya bhar ki khawateen mein amwat waqaye karne wala sab se khatarnak cancer hai. American Cancer Society ne Ovarian Cancer ko khawateen mein mout ka sabab banane wali teesri bari bimari qarar diya hai. Jadeed reports ke mutabiq har saal taqreeban 3 lakh khawateen iss bimari ka shikar hoti hain jin mein se 2 lakh khawateen iss bimari se lar nahi pati aur unki mout waqaye ho jati hai. Aiye Ovarian cancer ke baray mein jante hain ke ye kya hai aur kon si alamat hai jo Ovarian Cancer ki waja se ho sakti hain.

Khawateen mein badam ki shakal ki do Ovaries yani baiza daniya bacha dani ke itraf mein maujood hoti hain. Baki cancer ki iqsam ki tarha inn mein mojood khuliyon ki ghair mamooli afzaish Ovarian Cancer ka bais banti hai.

Ovarian Cancer genes ke zariye aap ki family se bhi muntaqil ho sakta hai, jab ke ye dusri wajohat ki waja se bhi afzaish pa sakta hai. 

Dosto, Ye zaroori nahi ke Ovarian Cancer ki ibtidayi marhaly mein alamat zahir hon tahum kuch alamat aisi hain jo Ovarian cancer ke mukhtalif marahil mein zahir ho sakti hain. Ye alamaat achanak aur shadeed hoti hain aur baaz auqat musalsal zahir hoti rehti hain. 

Ovarian Cancer ki kuch eham alamat mein:

Dosto, agar aap btayi gayi alamat musalsal mehsoos karein tou fori taur per apne doctor se rajou karen. Ovarian Cancer ke baray mein apni doston aur ghar ki khawateen ko bhi aagah karein apna aur apne payaron ka khayal rakhein. Allah Hafiz!



Back to List