16 Saal se Kam Umar Bachiyon ko UTI Kyun Hota Hai?

By:Zoya

Dosto, Kya aap ko mamool se ziyada bathroom janay ki hajat mehsoos hoti hai?  Aur baaz auqaat yeh hajat itni shadeed hoti hai ke aap taqreeban dorh ker bathroom ki taraf jate hain? Albata har baar bohat thora ya mamol se kam urine pass hota hai. Aur iss ke sath aap ko shadeed jalan ka bhi ehsas hota hai?

Agar haan, tou inn alamaat ka samna karna, mamooli baat nahi hai. Yeh alamat Urinary Tract Infection ki ho sakti hain.

Dosto,  50 se 60 feesad khawateen ko zindagi mein ek baar UTI zaroor hota hai. Jab ke 11 saal ki umar tak taqreeban 3 se 5 feesad kam umar larkiyan bhi iss ka shikar hoti hai. Lehza ma’on ko chahiye ke waqt ke sath sath apni bachiyon ko unki personal hygiene ke baray mein maloomat faraham karein.

UTI ke phailao ki bohat si wajuhat ho sakti hain jin mein se ek eham aur aam waja hajat rafa karne ke baad toilet paper ka istemal na karna hai. Dosto, yaad rakhiye, hamesha hajat rafa karne ke baad sirf pani se apne aap ko saaf karna kafi nahi hai, apne aap ko UTI jese infections se bachane ke liye zaroori hai ke hajat rafa karne ke baad toilet paper se apne aap ko saaf aur khushk karen. 

Iss ke sath sath majmooi tour per apni jismani safai ka khayal na rakhna, nylon underwears, khushbudar sprays ya perfumes ka istemal bhi  bacterial infections ki afzaish ki ek eham waja ban sakte hain. 

Dosto, UTI ek bacterial infection hai jis ki muntaqli ba-asani mumkin hai lehza apni personal hygiene ki cheezon ka apni behno ya dosto ke sath share karna aap tak ya aap se dusro ko bacteria ki muntaqli ka bais ban sakta hai.

Iss ke ilawa public washrooms ko istemal karne se guraiz karein, taham agar zaroorat ke tehat aap ko istemal karna par jata hai tou washroom ke istemal se pehle achi tarha flush karein, muslim shower hai tou uss ko dho ker istemal karein aur toilet paper ka istemal UTI se bachao ke liye yaqeeni banain.

UTI ki alamat zahir hone per apni bachiyon ko doctor ke pass zaroor le ker jayen. Main umeed karti hon ke hamari faraham ki gayi maloomat aap ke liye faida  mand sabit hongi aur aap iss ko apni dosto ke sath zaroor share karen gi.



Back to List