Gharelu Tashadud Kiya Hai Aur App Iss ki Shanakht Kese Kar Sakty Hain

By:Zoya

Gharelo Tashadud se muraad ap ke ghar mein har wo zubani, jismani ya nafsiyati amal hey jo apko takleef pohanchaney ke liye baar baar kiya jaye. Is mein gaali galoch, dhamkiyan, apko neecha dikhana, maar peet, apki cheezon ki torr phorr aur izzat-e-nafs par lagatar hamlay shamil hein. Is k ilawa apki naql o harkat, phone aur social media ke istimaal par be-ja pabandi aur khilaaf warzi ki soorat mein jismani tashadud waghera bhi gharelo tashadud ke zimray mein attey hein. Issi tarhan agar app khud nahi kamatein tau apko aziyat denay ke liye apki muashi zarooriyaat ko nazar andaaz karna bhi shamil hein. Afsos ke saath kehna parhta hey ka Pakistan mein gharelo tashadud beshtar gharon ki kahani hey par iska yeh matlab nahi ke yeh jurm nahi. Human Rights Watch ke mutabiq 70% Pakistani khawateen kisi na kissi kism k gharelo tashadud ka shikar hein jo ke aik intihai sharam naak baat hey. Chalein dekhtein hein ke Gharelo tashadud ki kuch iqsaam.

1. Control yani apko kisi bhi muamley mein apni marzi karney ki ijazat na ho chahey wo aziz o aqarab se mail jol ho ya phir bachon ki parwarish se mutaliq faisley. Iss amal k zariye ziyaditi karne wala mulzim apki zindigi par mukamal haawi ho jaata hey. Control nafsiyati tashadud ki aik qism hey jo apki khud aitemadi ko tabah kar deta hey.

2. Jazbaati tashadud - Aisa koi bhi amal jo kisi shaks ko darra dhamka ke ya baar baar sharminda kar ke kia jaye, wo jazbaati tashadad ke zimray mein aata hey, jaisey ke baar baar taaney dena, ap ki kabhi bhi hosla ifzai na karna, ap par bewaja ilzaam tarashi, gaali galoch aur ap ke liye zilat amaiz naam istimaal karna sab jazbaati tashadad ki misaalein hein. Jazbati tashadad ka shikar afraad apni izat-e-nafs kho beithtay hein jo ke depression ki sab se barri wajah hey.

3. Jinsi Tashadad - Iss mein shamil hein jinsi zabardasti, jinsi be-hurmati, ap ke jism ka mazaak uraana, shohar ka kisi aur ke sath jinsi taal’uqaat rakhna aur apko iss baat ki aziyat dena. Yaad rahey ke apka shohar bhi apki marzi k khilaaf apko haath nahi laga sakta. Aur agar wo apko kisi be tareeqay se jinsi aziyat ka nishana banata hey tau yeh gharelo tashadad mein shumar hota hey.

4. Jismani tashadad - Gharelo tashadud ki sab se aam kism jismani tashadad hey jis mein jismani maar peet, apko qaid kar lena, aghwa, apka khaana peena band kar dena, ya phir apki cheezon ki tor phor shamil hein. Inn ke ilawa acid attack yani taizab phainkna, cigerette se ya phir poora jalaa dena jismani tashadad ki badtareen misaalein hein. Aksar mulzim jismani tashadad k baad app se maafi mang letay hein ya phir waada kartay hein k aisa dobara nahi hoga. Yeh sach nahi. Jismani tashadad aik aadat hey jissey badalna aasan nahi. Lehaza is khush fehmi mein mat rahein k aisa dobara nahi hoga. Foran madad hasil karein.

5. Ghairat ke naam par qatal Gharelo tashadad ki sangeen tareen misaal hey jis ki maafi na deen mein hey aur na hi is duniya mein.

6. Maali ya muashi ziaditi - Agarcha hum mein se bohat se log is kism se nawaqif hein par iska yeh matlab nahi ke yeh jurm nahi. Maali ziyaditi karney wala shakhs apney victim ko paison ka bilkul control nahi deta ya phir uski bunyadi zarooriyat jaisey ke khaaney, kaprey, dawai, kharcha paani ko nazar andaaz karey. Is ke ilawa agar wo inn mein sey kisi bhi zaroorat ko shart k torr par istimaal karey tau wo bhi Muashi ziyaditi mein aata hey. Maslan apko kehna ke agar tum yeh karo gi tau mein paisey doon ga warna nahi.

Dosto yeh thein gharelo tashadud ki chand iqsaam jo humarey muashrey mein rozana dekhney ko miltein hein, magar bohat si khawateen inn sey nawakif hein. Zaroori hey ke hum inn ko pehchanein ta ke en ke khilaaf awaz utha sakein aur madad hasil kar sakein.

Gharelo tashadud aik sangeen jurm hey jiski saza jail hey. Ap iss jang mein akaili nahein.Agar aap chahein tau iss jahanum se nikal sakti hein. Khud bhi agah rahein aur apney ird gird logon ko bhi agahi dein!



Back to List