Kiya is ki qasoor war bhi mein hon?

By:Zoya

Dosto, haal hi mein Pakistan mein khawateen ke khilaf hone wale tashadud ke muqadamat mein khatarnak hadh tak izafa dekha gaya hai. Inn tashadud ke waqiyat mein qatal, jinsi ziadti, acid attack, aghwa, zinda jalane, aur gharelu tashadud ke muqadamat shamil hain.

Ziada tar khawateen par jinsi aur gharelo tashadud ke cases mein un ke sath hony  wali ziadti ka qasoor war bhi usse hi tehraya jata hai. Dosto, iss ko “Victim Blaming” kehte hain. Aye, jante hain ke victim blaming kya hai aur aap iss ki shanakht kese kar sakte hain.

The Canadian Resource Centre for Victims of Crime ke mutabiq “Victim Blaming” aysa amal hai jis mein kisi jurm ya hadsay ki mutasira khatoon ko hi uss jurm ya hadsay ka mukammal ya juzwi tor par zimma daar tehraya jata hai. 

Yani dosto, agar hadsay ki shikar khatoon ko uss hadsay ka zimmedar tehraya jaye, uss per ilzamat lagaye jayen, uss ko khamosh rehne py uksaya jaye, ya yeh samjha jaye ke mutasira khatoon issi ki mustahiq thi,  tou yeh “Victim Blaming” ke zumray mein atta hai. 

Ayein mein aap ko victim blaming ke hawalay sey kuch aese jumlay batati ho jo aap ne aksar sunay hon gy.

“Akele ghar sey kyun nikli thi? “Aysy kapre kyun pehne the” “Aysa tou hoga jab apni marzi karo gi”...  Aysy tamam bayanat is baat ki akasi karte hain ke hone wale hadsay mein mutasira khatoon barabar ki hissedar thi, jab ke haqeeqat mein ziadti ya badsaluki, mukamal tour per ziadti ya badsaluki karne wale shakhs ka shaoori intekhab hota hai, jis mein mutaisra khatoon sirf uss ka shikar hoti hain.

Aksar aukat mutasira khatoon ke qareebi afrad aur khadan wale sharmindagi aur darr ke bais hadsay ko larki ki hi ghalti maan kar khamosh hojate hain. Dusri janib insaf ke liye awaz uthane wali khatoon ko insaf faraham karne wale bhi ilzamat ki surat mein victim blaming ka shikar kar sakty hain.

Victim Blaming, mutasira khawateen ke liye nafsiyati challenges, jese depression, anxiety, aur Post-traumatic stress disorder, ke sath mutasira khwateen ko sharmindagi ke bais apne liye insaaf mangne se bhi rok deta hai. 

Umeed karti hai ke ab aap  victim blaming ki pehchan kar ke, iss ke khilaf awaz utha sakein gy aur madad hasil kar sakein gy.



Back to List