Kiya aap khanay ki nafsiyati bemari Bulimia Nervosa ka shikar tau nahi?

By:Zoya

Kya aap ne kabhi apne khanay ki miqdar ko mehdood karne ki koshish ki hai? Lekin aap ko mehsoos huwa ho ke aap chah ker bhi apne khanay ki miqdar mein kami nahi kar sakti hain? Aur ek khas waqt tak apne aap ko bhooka rakhne ke baad aap ne binge eating yani ghair iradi tor pe bohat ziada khaya ho? Aur ahista ahista yeh aap ka mamol ban gaya ho? 

Maslan college, university ya office ke aukat mein khud ko bhooka rakhna kyun ke aap apne khanay ki miqdar pe sharmindagi mehsoos karti hain. Jab ke ghar ja ker jo kuch bhi mojood ho zaroorat se bohat ziada kha lena. Aur uss ke baad apni overeating ko compensate karne ke bary sochna. Lekin healthy diet ke zariye nahi, balke laxatives, ulti ke zariye ya khatarnak hadd tak exercise ke zariye.

Kya aap janti hain yeh alamat “Bulimia Nervosa” ki ho sakti hain?

Dosto, Bulimia ek aysa eating disorder hai jis mein aap chah ker bhi apne khanay ki miqdar ko kam nahi kar patay aur overeating karne ke baad uss ki talafi ke liye manfi tareeqay talash karte hain jese zabardasti ulti karna, khatarnak hadh tak bohat ziada exercise karna, ya aysi adwiat ka zaroorat se ziada istemal karna jis se weight gain na ho. 

Bulimia ke shikar logo ki zindagi musalsal ek hi loop mein chalti hai. Zaroorat se ziada khana khana aur uss ke baad uss ki talafi krne ki koshish karna. 

Dosto, kya aap jante hain ke zahiri tour se mamooli dikhne wala yeh disorder bar-waqt ilaj na hone pe jaan lewa bhi ho sakta hai? Aur iss ki shuruwat wazan barhnay kay bay-bunyad darr se hoti hai. Aese afrad apne din ka ziada tar hissa apne wazan aur apne jism ke baray mein sochne mein guzar dete hain, wo hamesha iss hi darr mein rehte hain ke un ka wazan barh raha hai, jab ke un ka overeating pe chahte huwe bhi qabu nahi hota aur bil aakhir wo apni overeating ki adat ki talafi ke liye manfi rastay talash karte hain.

Bulimia ke aap pe jismani asrat ke sath sath nafsiyati asrat bhi hote hain jese stress, depression aur anxiety ke sath sath yeh aap ki khud itemadi ko bhi thais pohanchata hai. Depression aur anxiety Bulimia Nervosa ki alamat hone ke sath sath iss ki wajuhat bhi ho sakti hain. 

Dosto, batayi gayi kisi bhi alamat ke paye jannay pe foran nutritionist aur mahir-e-nafsiyat se ruju karein. Apni aur apnon ki sehat ka khayal rakhein. Allah Hafiz! 

 



Back to List