Maa ke liye breastfeed karwana kyun zaroori hai?

By:Zoya

Dosto, agar aap ko bhi lagta hai ke breastfeeding aap ke liye ek paichida amal hai aur ye aap ki body shape ya weight per manfi asrat maratab kar sakti hai tou aesi afwahon pe yaqeen har ghiz mat karein. 

Breastfeeding ek aesa hairat angaiz amal hai jo ke bachay ko paidaish ke chand ghanton ke baad se le ker jawani tak faida pohanchati hai lekin sath mein maa ke liye bhi nihayat mufeed hai. Yeh baat dhaki chupi nahi hai ke aap mein se aksar khawateen breastfeeding ko sharmindagi ka bais samajhti hain jab ke chand khawateen apni body image ko le ker be-waja darr ki badolat breastfeeding karwane se hichkichahat mehsoos karti hein aur apne bachon ke liye formula doodh ka istemal karti hain. Lekin kya aap janti hain ke breastfeeding postpartum yani zinchgi ke baad barh janay walay weight ko lose karne mein madadgar sabit ho sakti hai?

Dosto, mahireen ke mutabiq breastfeeding ke zariye aap ek din mein taqreeban 500 se 600 calories burn kar sakti hain. Aur kya aap yeh janti hain ke agar aap ek din mein 500 se 600 calories burn karti hain tou ek haftay mein aap 1 pound weight lose kar sakti hain? 

Iss ke ilawa breastfeeding ke amal ke doran aap ka dimagh love hormone Oxytocin, aur Prolactin release karta hai jo ke aap aur aap ke bachay ke darmiyan bond to mazboot karne ke sath sath maa ko postpartum stress aur anxiety se chutkara hasil karne mein madad karta hai.

 

Dosto, jahan maa ka doodh peenay wale bachon mein dosron bachon ke muqablay mein mukhtalif bimariyon ke khalif quwat  e mudafat ziada hoti hai wahi bohat se researchers ke mutabiq doodh pilanay wali maaon mein breast cancer, ovarian cancer, dil ki bimari, faalij, type 2 diabetes aur zachgi ke baad depression ka khatrah hairan kun hadh tak kam hota hai. 

Breastfeeding maa ke liye bachon ke darmiyan waqfa karne ka ek mehfooz aur qudarti tareeqa bhi hai.

Dosto, mein umeed karti hon ke aap suni sunai baaton pe yaqeen karne ke bajaye sainsi tour se tasdeeq shuda haqaiq pe amal karenge!



Back to List