Bachon mein Dyslexia ki Alamat

By:Zoya

Dosto, agar aap ka bacha likhnay, aur parhnay mein kamzor ho, ya school mein behtar karkardagi ka muzahira na kar raha ho, ya usko seekhnay ke amal mein dushwari ka samna ho, tou bachay ko dantnay, ya saza dainay ke bah jaye is ki wajah talaash karni chahiye .

Aap ke bache ki iss kamzori ki wajah Dyslexia bhi ho sakti hai. Dyslexia, koi zehni mazoori nahi hai balkay iss ke shikaar bachay seekhnay aur samjhne ke amal mein thori dushwari mehsoos karte hain. Taham inhein kund-zehen ya kaahil kehna sara sar ghalat hai. Kyun ke un ki iss kamzori ka har giz yeh matlab nahi ke aysy bache kuch bhi seekhne samjhne se kasir hote hain, zaroorat hoti hai tou ek aysy mutabadil rasta talash karne ki jis se aap ke bachay ke liye seekhnay ka amal asan aur dilchasp banaya ja sake. 

Chunke bachay ki ibtidayi taleem ka aaghaz likhnay, parhnay se hota hai aur iss hi satah par bachay ki seekhnay ki salahiyat ka andaza lagaya jata hai. Iss liye jitna jaldi Dyslexia ki shanakht kar ke mutabadil tareeqon se seekhnay ke amal mein bachay ki madad ki jaye, itna hi behtar hota hai.

Dyslexia ki alamaat har bache mein yaksa nahi hoti. Kuch bachon ko parhnay ya hijjay karne mein mushkil darpaish hoti hai, tou doosron ko likhne mein jad-o-jehad karni parti hai. kuch bachon ko ibtidai tor par likhne parhnay mein mushkilat ka saamna hota hai, lekin agay chal kar deegar masail ka bhi samna karna parta hai, maslan grammar ki ghalatiyan, kisi tehreer ko parhnay ya likhnay mein dushwari, alfaaz ko ghalat pronounce karna waghera.

Dosto, Dyslexia ki wajah se bachon ko apni raye ke izhaar mein bhi dushwari mehsoos hoti hai. Un ko alfaaz ka chunao karnay, apni soch ko guftagu ki soorat mein karnay aur apne jumlon ko tarteeb dene mein mushkil hoti hai. Jab ke kuch bachon ko doosron ki guftagu ko samajhne mein bhi mushkil ka saamna hota hai. 

Yeh tamam masail aap ke bache ki shakhsiyat par manfi asrat maratab karte hain. Aysy masail ka shikaar bache nafsiyati tor par kamtari ka shikar ho jatay hain. Baghair kisi Educational Psychologist ki madad ke aisay bachay seekhnay ya yaad karne ke douran aksar ghabra jatay hain, chirchirapan ka muzahira karte hain aur parhayi ke pressure ki waja se sakht zehni dabao ka shikaar ho jatay hain.

Bache ko uski umar ki munasbat se kitaaben aur aisay khilonay laa kar dein, jin ki madad se usko cheezon, rangon aur huroof waghera ko pehchanney mein madad miley. Iss ke alawa aap mukhtalif cheezon ko yaad karne ke liye poems, stories, aur magazines ka bhi istemal kar sakte hain. 

Dosto, Dyslexia ki shanakht hone per zaroori hai ke aap Child Psychologist ya Educational Psychologist se fori ruju karein. 



Back to List