Endometriosis Banjhpan ki bari waja

By:Zoya

Dosto kia aap ko maloom hai ke 30-50% khawateen mein Endometriosis banjhpan ka bais bhi banti hai, is liye is bemari ki waja se hony wali paichidagiyon ko samajhna bohat zarori hai ta ke aap samajh saken ke Endometriosis kis tarah banjh pan ka bais banti hai.

Pehle jantay hein ke Endometriosis kia hota hai? Is bimari mein uterus yani bacha dani ke andar banany wali layer jissay endometrium kehtay hein, iski berooni satah pe bhi banany lagti hai jo baad mein cysts yani thailion ki shakal ikhteyar kar leti hai aur taklif aur banjh pan ka bais ban sakti hai. 

Dosto! Endometriosis ki kuch alamaat hoti hain jin pe ghor kar ke aap is bemari ka barwaqt ilaj karwa sakti hain. 

Endometriosis aik paicheda bimari hai is liye is ka bar wqat elaaj bhi zaroori hai. Mamooli alamat ki soorat mein, dawai aur behtar tarz e zindagi se ilaj mumkin hai ta hum paicheda alamat ki surat mein surgery bhi karna par sakti hai aur aik lamby arsy ke liye tarz e zindagi ki mansoba bandi ki jati hai.


Umeed karti hon article sun kar aap ki malomat mein izafa hua hai aur aap in malomat se mustafeed ho kar apni sehat mand zindagi ke liye behtar iqdamat kar saken gi. Mazid malomat ke liye articles sunty rahen, Mujhe ijazat dein.



Back to List