C Section se sehat yabi ke liye tips

By:Zoya

Dosto, baaz auqaat normal delivery ke doran pechidgiyan matwaqqa hoti hain jin se bachnay ke liye doctors c-section tajveez kertay hain. Yeh zachgi ke liye kiya janay wala operation hai, jiss mein pait aur uterus yani ke reham ko cheera jata hai. Iss operation ke baad infection, dard aur khoon ke ziada ikhraj ke imkanak hotay hain.


Lekin aap ko fikar mand honay ki zarurat nahi hai kyon ke mein aap ke liye c-section se sehat yabi ki tips lai hon jin per amal se aap jald rozmarra zindagi ki taraf lot aain gi toh aaiyeh shuru kertay hain.


● Aram karain aur bila zaroorat harkat karny se guraiz karain. Apni aur apany bachay ki zarurat ki tamam ashiya apnay qareeb rakhein ta ke aap ko baar aar uthna na paray.


● Pani aur juices ka kasrat se istimal karein, iss se jisam mein pani ki kami nahi hogi aur dhoodh rawan rahay ga. Is ke ilaqa zakhmon ke jald bharnay mein bhimadad milay gi.


 ● Dard kam kernay wali adviyaat ka istimal doctor ki hidayat ke mutabiq karein.


● Jab tak aap mukamal tor per theek na ho jaein, driving ya safar her giz na karein, kyon ke jhatka lagnay ya khichao ki soorat mein operation kharab ho sakta hai.


● Koi bhi wazan uthanay se guraiz karain. Cheenknay ya khansnay pe apny pait pe zakham wali jaga pe hath rakhain ta ke is jaga pe khainh na paray.


● Doctor ki ijazat se halki phulki walk karain.

Ayein ab jantay hain ke kab aap ko fori tor par doctor se ruju kerna chahiye:


1. Jisam se bohat ziada khoon ke ikhraj aur shadeed dard ki soorat mein.


2. Operation wali jaga per surkhi ya sozish dikhai dainay ki soorat mein.


3. Operation wali jagha se kisi qism ke ikhraj ki soorat mein maslan ke khoon, pani ya pus nikalna.


4. Seenay ya chaati mein dard ki soorat mein.


5. Jism ka darja haraarat 100 se zayed honay ki soorat mein.


6. Saans lenay mein dushwari ki soorat mein.


7. Nafaas ka khoon bohat zeyada jari honay ki soorat mein.


Dosto, C-section ke baad aurat ka jism hasaas hota hai aur isay nigaehdasht ki zaroorat hoti hai. Is liye ehtiati tadabeer pe amal karain ta ke kisi bhi mumkina paicheedgi se bacha ja sakay.



Back to List