Doran e Hamal Ziyabaitis ka Khatra

By:Zoya

Dosto douran e hamal hone wali Ziyabaitis aik aisi bimari hai jo khawateen mein sirf hamal ke doran payi jati hai aur iss ki tashkhees bhi hamal ke doran hi hoti hai. Iss bimari ko Gestational Diabetes bhi kehte hain.

Choun ke doran e hamal bacha ghiza aur deegar zaroriyat ke liye mukamal tor per maa pe munhasir hota hai iss liye hamal ke doran hone wali Ziyabaitis bachy ke liye khatarnak sabit ho sakti hai aur bachy mein yarkan, phaipharon ke masail padaish ke douran masail aur paichedagiyon ka bais ban sakti hai.

Hamal ke doran hone wali Ziyabaitis ki aik bari wajah hamal ke doran paida honay walay hormones hain. Ye hormones jism mein insulin paida karne wale hormone ke kaam mein khalal daltay hain jis se jism mein sugar level mutasir hota hai aur hamal ke doran Ziyabaitis lahaq hoti hai.

Gestational Diabetes ki alamtain ammoman second trimester yani hamal ke choutay mahinay mein zahir hoti hain aur bachay ki padaish ke baad khatam ho jati hain.

Aiye ab jantay hain ke kin khawateen mein hamal ke doran Ziyabaitis honay ka khadsha ziada hota hai. 

Doran e hamal Ziyabaitis ki bimari ki tashkheesi alamat kuch khas nahi hain ta hum iss bimari mein mubtala khawateen mein pyas ka ziada lagna, kasrat se peshab ana, douran e hamal maa ke pait mein pani ziada hona, padaish ke waqt bachy ka wazan gher mamoli taur per ziada hona, bachay ki padaish mein paichedagi aana waghera shamil hain.

 Iss liye apne doctor se hamal ke doran mamol ke test aur tashkhees ke ilawa Ziyabaitis ke tashkheesi test bhi karwayein.



Back to List