Khawateen Ke Liye Zaruri Screening Tests

By:Zoya

Dosto! Screening tests kisi beemari ka ilaj nahi liken iss ke bawajood yeh hamein kayi mohlaq amraz se mehfooz rekhnay aur in se nimatnay mein madad detay hain. Jee han Dosto, yeh darust hai! Cancer, Sugar aur Osteoporosis chand aesi beemariyan hein jin ki rok tham screening tests ke zariye mumkin hai. Aj main aap ko kuch aese tests ke mutaliq batanay ja rahi hon jo karwana her aurat ke liye zaruri hai. 

Dosto, screening test darasal beemari ki alamat zahir honay se bohat pehlay iss ki tashkees kar letay hain! aur Agar beemari ka ibtida mein he pata chala liya jaye tou uss se sehatyab honay ke imkanaat bohat barh jatay hai. 

Tou aaiyen jantay hein ke kon se screening tests hein jo khawateen ke liye zaroori hein.

Breast Cancer Screening

Breast cancer yani chati ka sartan aik khatarnak beemari hai lekin issay ibtida mein shanakht kar ke iss se chutkara pana mumkin hai. Issi liye bohat se mahireen mashwara detay hain ke agar aap ki umar 20 se 40 saal ke darmiyan hai tou her 1 se 3 saal baad apni chati ka muaina karwaein. 

Aur agar aap ke umar 40 se 50 saal ke darmiyan hai tou her saal apna mammography test karwaein. Iss test ki madad se gilti bannay se bohat pehlay cancer ki tashkhees ki ja sakti hai. Jab ke agar aap ki umar 50 se 70 saal ke darmiyan hai tou aik saal chor kar yani her 2 saal baad apna mammography test karwaein. 

Cervical Cancer

Yeh bachay dani ke mon ka cancer hai. Iss beemari ki sab se bari waja Human Papillomavirus (HPV) hai. Dosto, Cervical cancer ki ibitayi marhalay mein koi khas alamat zahir nahi hotin. Lehaza behtar yeh he hai ke Pap smear test ya HPV Screening ke zariye jald tashkhees kar li jaye ta ke barwaqt ilaj shuru kiya ja sakay. 

Dosto, chun ke yeh beemari HPV virus ki waja se hoti hai lehaza iss ke khilaf vaccination karwayi ja sakti hai. Aik tehqeeq ke mutabiq agar 17 sal se kam umar larkyon ki cervical cancer se bacho ke liye vaccination karwayi jaye tou 88 feesad tak moassar hai jab ke agr yehi vaccination 17 se 30 ki umar ke darmyan karwayi jaye tou bhi kafi hadd tak moassar hai. 

Skin Cancer 

Agar jild per moujood nishanat aur tilon wagera ke rang, shakal ya size mein tabdiliyan paida ho rahi hon tou inhain mamooli na samjhein aur doctor se ruju karein. Kiyon ke yeh jild ke sartan ki mutwaqqa alamat ho sakti hain, Iss ke ilawa waqtan fawaqtan doctor se muaina karwein. 

Osteoporosis

Osteoporosis aik aesi beemari hai jis mein hadiyan ghulnay lagti hai aur in ki kasafat kam hoti chali jati hai. Iss ki takhkhees Dual Energy X-ray Absorptiometry (DXA)  nami test se ki jati hai. 65 saal ya iss se ziada umar ki tamam khawateen ko yeh test karwana chahiye. Kiyon ke Osteoporosis ki rok tham aur ilaj mumkin hai. 

Glaucoma Screening 

Glaucoma ankhon ki aik beemari hai jo ankh ko damagh se jornay wali optic nerve ko nuqsan pohanchati hai. Agar iss beemari ki barwaqt tashkees aur ilaj na kiya jaye tou yeh andhay pan ki waja bhi ban sakti hain. Yeh beemari bari umar ke afrad mein ziada aam hai lehaza 60 saal se ziada umar ki khawateen ko Glaucoma Screening karwani chahiye. 

Dosto inn sab screening tests ke ilawa, blood pressure, cholesterol, HIV Aids, aur Diabetes test bhi baqaidgi se karwein. Agar aap ki sehat achi hai tab bhi zaruri screen tests karwaein ta ke tandrust zindagi guzar sakein.



Back to List