Miscarriage yani Hamal ka Zaya Hona

By:Zoya

Miscarriage ya hamal ke zaya honay pe aksar khawateen khud ko zimmedar smjhti ha jab ke aysa hargiz nahi hai kyun ke iski bohat si aysi wajuhat hoti hain jin se hum la ilm hotay hai. Wo wajuhat kia hain?

Dosto, miscarriage se murad dar-asal aik aesa amal hai jis se hamla khawateen paidash se pehlay he apnay bachay ko kho deti hain. Yeh dukh waldain, bilkhasoos maan ke liye intihayi takleef dah hota hai. Youn tou yeh aik qudarti amal hai lekin aksar khawateen, bacha kho denay ka zimma daar khud ko samjhnay lagti hain aur iss se un mein ahsas e nadamat aur sharmindagi ke jazbat paida hotay hain. 

Iss liye aaj mein aap ko miscarriage ki mumkina wajuhat ke baray mein agah karon gi ta ke aap khud ko qasoor war na tehraein aur behtar zindagi ki janib lot sakein.

Dosto, ziada tak miscarriages aisi cheezon ki waja se hotay hain jo insani ikhtiar se bahir hain, jesay ke bachay ke chromosomes theek se na ban panay ki waja se! Chromosomes asal mein dhagha numa sakhtein hai jin mein DNA mojood hota hai. Yehi DNA bachay ki tamam khasoosiat jesay ke baal, jild aur ankhon ka rang wagera mutaiyan karta hai. Lehaza agar bachay ke chromosomes theek se na ban paein tou miscarriage ho sakta hai. 

Miscarriage honay ki dosri bari waja maan ki sehat hai. High blood pressure, be-qabu sugar, aur bacha dani ke masail kuch aise factors hain jo miscarriage ki waja ban saktay hain. Aesi he aik bemari Polycystic Ovary Syndrome (PCOS) hai. Iss mein bacha dani ka size bara ho jata hai aur hormones mein ghair mutwaqqa tabdiliyan aati hain. In ke ilawa thyroid ke masail ya baaz infection bhi miscarriage ka bais ban saktay hain. 

In sab wajuhat ke ilawa hamal zaya honay ki aik aham waja food poisoning bhi hai. Dosto, Gosht ya anday wagera agar theek se na pakaye jaein tou in mein aesay jaraseem mojood ho saktay hain jo ke bachay ko nuqsan pohnchatay hain.

Dosto baaz auqat sab theek honay ke bawajood bhi hamal zaya ho jata hai aur iss ki asal waja bhi asani se pata nahi chalti. Lehaza yaad rakhein! Yeh aik qudarti amal hai aur pareshan ho kar khud ko takleef mat dein balkay ainda mehfooz pregnancy ke liye doctor se mashwara karein.

 



Back to List