Janiye Premenstrual Dysphoric Disorder kya hai

By:Zoya

Kya aap bhi hormonal utaar charhao ke sath jad-o-jehad kar rahay hain jo aap ke mahvari ke sath sath chaltay rehte hain? Kya aap apni mahwari ki muddat shuru honay ke aik ya do hafta pehle apne mood main tabdeeli ke sath shadeed chirchira pan, afsurdagi aur iztiraab mehsoos kerti hain? Dosto, yeh alamaat aam tor par khawateen ki zindagi ka aik aam hissa hain. Taham, baaz auqaat, yeh alamaat itnai pareeshan kun ho sakti hain yeh Premenstrual Dysphoric Disorder ke zumray mein aati hain. 

Dosto, Premenstrual Dysphoric Disorder, Premenstrual Syndrome (PMS) se milta julta ik tibbi masla hai lekin PMDD main paye jane wali alamat ziada sangeen noit ki hoti hai. Premenstrual Dysphoric Disorder mahwari ki muddat shuru honay ke pehlay aik ya dou haftay mein shadeed chirchira pan, afsurdagi aur bechaini ka baais bantaa hai, jisko medical ki lughat main irritation, depression, aur anxiety kaha jata hai. 

Premenstrual Dysphoric Disorder (PMDD) ki wajuhaat ke baray main filhal yaqeeni tour se kuch nahi kaha ja sakta lekin researchers ke mutabiq dimagh main maujuda chemical Serotonin apke moods ki tabdeeli main ek eham kirdar adaa kerskta hai. Dosto, Premenstrual Dysphoric Disorder (PMDD) ki alamat Serotonin ke adam tawazun ya kami ke bais pai jasakti hain. 

Aye, mein apko Premenstrual Dysphoric Disorder ki chand alamat ke baray main batati hu:

Dosto, batai gae alamat main se ik ya dou alamat ke paye jaane pe pareshan na hon kyun ke Premenstrual Dysphoric Disorder (PMDD) ki tashkhees ke liye in alamat main se panch ya panch se ziada alamat ka hona zaroori hai. 

Dosto, Aam tor par yeh alamaat aap ki mahwari shuru honay ke dou se teen din baad khatam ho jati hain. Lekin agar alamat shadeed noit ki hain tou ain mumkin hai ke apko doctor ki zarurat ho, aysi soorat main khud ko pur sukoon rakhiye aur doctor ki hidayat pe amal karein. 



Back to List