Pakistan Mein Maujood Corona Vaccines ki Iqsam

By:Zoya

Dosto Poori duniya ka tarz e zindagi badal denay, aur ab tak croron afarad ko mutasir karnay wali bemari COVID-19 ke virus ko roknay ka behtareen tariqa vaccination hai. Issi liye duniya ka har mulk apnay ziada se ziada shehriyon ko vaccines laganay ke liye khoshan hain. 

Pakistan mein bhi Corona vaccine lagayi ja rahi hai jiss ke liye aap 1166 per shanakhti number bhej kar registrtaion kara saktay hain aur agar chahain tou nijji tour pe bhi lagwa saktay hain. Yahan ye janana zaroori hai ke har vaccine ke kaam karnay ka andaz mukhtalif hai lekin sab ka maqsad jisam mein virus ke khilaf quwat e mudafeyat paida karna hai. 

Iss waqt Pakistan mein 4 vaccines dastiyab hain. In mein China ki 2 vaccines CanSino aur Sinopham, Russia ki Sputnik V aur University of Oxford ki tayyar kardah AstraZeneca vaccine shamil hain. 

China ki company CanSino ki vaccine mein genetically engineered Coronavirus istemal kiya gaya hai. Vaccination ke baad Jesay he yeh virus jisam mein dakhil hota hai, hamara immunity system yani mufdafiyati nizam mutharik ho jata hai aur antibodies bananay lagti hai. Dosto antibodies dar asal bemari ke khilaf larnay wali proteins hai jo jisam apnay difa ke liye banata hai. Yaad rakhein! Jis bhi beemari ke khilaf kaam karnay ke liye makhsoos antibodies ban jaein wo beemari koi nuqsan nahi poncha sakti. Yani vaccine lagnay ke baad agar asal virus jisam mein dakhil ho tou pehlay se tayyar shuda antibodies uss ka khatma kar dettay hain aur aap corona sy mehfooz rehtay hein. CanSino ki aik he dose yani aik injection kafi hai jab ke baqiya corona vaccines ke 2 injection lagwanay ki zarurat hoti hai. 

Dosto, yeh wohi vaccine hai jis ke trials mein Pakistan ne bhi hissa liya tha. 

Iss ke ilawa, Pakistan mein istemal honay wali China ki dosri vaccine Sinopharm hai. Iss vaccine mein kamzor kiya gaya coronavirus istemal kiya gaya hai, iss ke bhi jisam mein jatay he antibodies banna shuru ho jati hai. 

Jab ke baqi dono vaccines yani Russia ki Sputnik V aur University Oxford ki AstraZeneca mein, replication yani khud ki kapiyan tayyar karnay ki salahiyat na rakhnay wala virus istemal kiya gaya hai. Dar asal, Coronavirus mein bhi deegar jarsomon ki tarha khud ko replicate karnay, ya dosray lafzon mein apni tadad barhanay ki salahiyat hoti hai lekin Sputnik V aur AstraZeneca vaccines mein istemal kiya gaya coronavirus replicate nahi kar sakta. 

Dosto,corona vaccine lagwanay se bannay wali antibodies jisam ko corona ki bemari se tahafuz deti hain lekin inhain poori tarha se bannay aur jism ko corona ke khilaf difa ke liye tayyar karnay mein taqreeban 2 haftay lagtay hain. Lehaza vaccine lagwanay ke baad bhi mask zaroor pehnein aur SOPs per amal kartay rahein!

Umeed hai ke agar aap ne abhi tak corona ki vaccine nahi lagayi tau jald hi lagwa lein gay. Apna bohat khayal rakhiye aur mazeed maloomat ke liye hamaray baqi articles bhi suntay rahiye!



Back to List