Waqt sey Pehle Shadi ke Nuqsanat

By:Zoya

Hamary muashary mein aam tor per larkiyon ki shadi kam umeri mein he kar di jati hai is ki waja ye hai ke balooghat shuru hoty he ye samjha jata hai ke larki ki shadi ki umer ho gayi hai. Halan ke ye durust nahi hai. Balooghat 13 se 15 saal ki umer ke darmiyan mahwari shuru hony ka naam hai jab ke shadi ke liye kam se kam sahi umer 18 saal hai kyon ke shaadi aik zimmedari ka naam hai jis ke liye larkiyon mein zehni, jazbati aur jismani tabdiliyan darkar hoti hain. 

Baloghaat ke aghaz mein sirf mahwari shuru hoti hai jab ke jismani aur zehani pukhtagi any mein waqt darkar hota hai is liye sirf balooghat ke aaghaz mein larki per shadi ki zimadari dalna durust nahi hai. Iss ke elawa kam umri mein larki ka maa banana bachay aur maa dono ki sehat ke liye bhi nuqsan deh hai.

Mazeed ye ke larkiyan kam umeri ki shadi ki waja se achanak any wali tabdeeliyon ko qabool nahi kar pati aur na he bachay ki achy se dekh bhal kar sakti hain kyun ke us waqt unhein khud dekh bhal ki zaroorat hoti hai.

Tahqeeq ke mutabiq 18 saal se kam umer ki larkiyon mein shadi ke baad bohat si paichedagiyan zahir hoti hain jin mein:

Hamal ki paichedagiyan, hamal na theherna ya hamal ka ziya hona, waqt se pahle zachgi, kamzor ya murda bachy ki pedayesh, zachgi ke waqt maa aur bachy ki jaan ka khatra, zachgi ke baad larki ki sehat aur deegar jismani masail jaisa ke hadiyon aur pathon ki kamzoori ka paida hona aur shadeed zehni dabao waghera shamil hain.

In tamam paichedagiyon aur larkiyon ki zehani, jismani aur jazbati zaroriyat ko mad e nazar rakhty huwe waledain ko chahiye ke bachiyon ki shadi 18 saal se kam umer mein na karen aur unhen shadi jaisi zimmadari uthany se qabl zehni aur jismani tor per pukhta hony dein ta ke wo sahi umer mein shadi ki zimmadari sahi tor par nibha sakein aur aik sehat mand aur khush haal khandan ki bunyad rakh sakein.



Back to List