Khandani Mansooba Sazi se mutaliq Afwahen

By:Zoya

Dosto Umeed karti hon aap sab kheiyat se hon gay. Aaj mein aap ko khandani mansooba sazi se munsalik chand afwahon ke bary mein bataon gi aur in ke bary mein durust malomaat bhi farahem karon gi.

Kam ilmi aur maloomat ke galat zaraye ki badolat bohat se lougon khas tor per khawateen mein Khandani Mansooba sazi ke mutaliq galat tasawurat aur galt fehmiyan pai jati hain jo ke sra sr galat hain.

Aik aam afwah pai jati ke Khaandani mansooba sazi apnany se aurat mein banjh pan yani bacha paida karne ki saliheyat khatam ho jati hai. Jo ke bilkul durust nahi! Khandani mansooba ke tariqy sirf aap ki muntakhib karda matlooba muddat tak karamad hoty hain. Ye tariqy sirf aarzi tor per mousar hoty hain. Aur aap apni marzi se in tariqon ka intekhab kar sakte hain.

Aik dusri afwah ye hai ke Khandani mansoba sazi apnany ke liye pills ya challay ke istemal se wazan bharta hai. Aisa har giz nahi hai. Tahqeeq ke mutabiq in dono tariqon ko apnany se wazan mein izafa nahi hota. Challa khandani mansooba saazi ka aik mehfooz, sasta aur dair pa tareeqa hy aur ye kisi bhi umar ki aurat rakhwaa sakti hai. Challa ke zariye khawateen  12 saal tak hamal rok sakti hain aur isko Kisi bhi waqt nikalwa kar doubara haamla bhi ho sakti hain.

 

Issi tarah Khandani mansooba sazi ke liye pills ke istemal ke mutaliq aam raye hai ke is se khawateen main cancer ka khadsha barh jata hai. Jab ke ye hargiz durust nahi hai. Balkay, pills se khawateen main ovarian cancer yani beza daani ka cancer honay ke imkanat  kam ho jatay hain.

Khandani mansooba sazi ke liye istemal kiye janay wale tareeqay mehfooz hein aur yeh sarasar aap pe munhasar hai ke aap kitnay arsay tak Khandani Khandani Mansooba sazi  ke zariye hamal ko rokna chahtay hain. 

Khandani mansooba sazi ke bary mein mashwara karne ke liye aur koi bhi tareeqa apnane sey pehle apnay ilaqay ki lady health worker, lady doctor, ya phir khandani mansooba sazi ke marakaz se rabta zaroor karein.

Umeed karti hon article sun kar aap ki malomaat mein izafa huwa ho ga aur apne liye sahat mand iqdamat kar saken gi. Mazeed malomat k liye articles sunti rahen. Apna khayla rakhen.



Back to List