Khandani Mansooba Sazi ke Tareeqay

By:Zoya

Dosto aaj mein aapko khawateen ki sehat se mutaliq aik eham mamlay se aagah karon gi. Dosto jaisa ke ap jantay hein ke Khandani Mansooba sazi bachon ki paidaish mein waqfay ke tareeqon per mustamil aik amal hai jis e zariye walaidein apne bachon mein waqfay ki muddat aur bachon ki tadad ka faisla kar sakte hain. 

Khandani Mansooba sazi na sirf maa aur bachay ki sehat ke liye fayeda mand hai balkay issay apnany ke bohat sey muashi fawaid bhi hein, is sey wasail ke andar bachon ki behtar parvarish mein sahulat hoti hai, aap ka koi bacha bunyadi zarooriyat aur apki tawaja sey mehroom nahi rehta aur aik khush haal khandan parverish pata hai. Aik khush haal khandan ke liye bachon mein kam se kam 2 sey 3 saal ka waqfa zaroor rakhna chahiye. 

Dosto, Khawateen ki tauleedi, jismani aur zehni sehat ke liye bachon ki paidaish mein waqfay ka hona bohat zarori hai. Kyun ke ek sehat mand bachay ki parvarish aur nigehdasht ke liye aurat ka sehat mand hona bohat zarori hai. Agar bachon ki paidaish mein waqfa na kiya jaye to maa ke liye bachon ko masawi waqt dena aur unki zaroriyat ka khayal rakhna mushkil ho jata hai jis se maa ki zehni halat per to asar parta he hai balke bacha bhi maa ki tawaju se mehroom ho jate hain.

Khandani mansooba sazi ke mukhtalif aarzi, deerpa aur mustaqil tareeqay hain jin ki madad se aap bachon mein waqfa kar sakte hain.

Khaandani mansooba sazi ke aarzi mukhtasir duraniye ke tariqon mein condom, pills, injection,  arzi magar dairpa tariqon mein Challa (IUCD) aur Jadelle (Implant) jab ke mustaqil tareeqon main nal bandi yani aurat ki surgery aur nas bandi yani mard ka surgery shamil hain jissay dobara surgery ke baad ghair faael banaya ja sakta hai.

Hamal ko roknay wali pills sirf us waqt tak hamal ko rokti hain jab tak aurat in ka istamal karti rahay.  Hamal ko roknay wala injection lagwanay sey 12 haftay tak hamal ko roka ja sakta hai. Implant, Khandani Mansooba sazi ke un tareeqon main se aik hai jo saalon tak hamal honay se rokta hai. Baazu ki jild ke neechay 1 plastic rod lagwanay se 3 saal tak hamal ko roka ja sakta hai.   

Dosto Khandani mansooba sazi ka koi bhi tareeqa apnanay sey pehle ya is ke bary mein mashwara karne ke liye apne ilaqy ki lady health worker, lady doctors ya phir khandani mansooba sazi ke marakaz se rabta zaroor karein khas tor par wo khawateen jinhain kisi qism ki beemari ho maslan, TB, aadhay sar ka dard, sugar ya dil ki koi beemari wagera tau aisi khawateen ko bhi Khandani Mansooba sazi doctor se mashwara karny ke baad apnani chahiye. Kyun ke aisi soorat main doctor se mashwara kiye bina masooba sazi apnany se khawateen ki sehat main pecheedagi paida ho sakti hai.

Umeed karti hon article sun kar aap ki malomaat mein izafa huwa ho ga aur aap  apne liye sahat mand iqdamat kar saken gi. Mazeed malomat k liye articles sunti rahen. Apna khayla rakhen.

 



Back to List