Cervical Cancer kia hai?

By:Zoya

Assalam-o-Alaikum Dosto! Kia aap ko maloom hai ke Pakistan mein rozana 20 khawateen cervical cancer ki waja se mout ka shikar ho rahi hain? Yeh Khawateen mein payi janay wali ek sangeen bemari hai. Cervical Cancer Bacha dani ke mu ke cancer ko kehtay hein.

Cancer aik aisa marz hai jis mein jism ke cells yani khulliye kisi genetic ya dusry nuqs ke bais gher mamooli taor per bharna shuru ho jaty hain. Cervical Cancer mein bhi bacha dani ke cells yani khulliye gher mamooli taor per bharna shuru ho jate hain. Cervical Cancer khawateen mein payi jany wali cancer ki dusri aam qism hai. Cervical Cancer ki agaahi ke liye har sal January ka mahina bhi mukhtas kiya gaya hai.

Cancer ke mourosi aur gher mourosi asbab ho sakte hain ta hum Cervical Cancer ke asbab per tahqeeq jari hai. Lekin human papillomavirus (HPV) ko iss cancer ke bharnay ka sabab mana jata hai. Cervical cancer ki ibtedai marhaly mein koi khas alaamat zahir nahi hoti albata paicheda surat e haal mein chand alaamat zahir hoti hein jin per tawaju de kar aap barwaqt iss marz ki tashkhees aur elaj karwa sakti hein. In alamaat mein

Agar alaamat mein se koi bhi zahir ho tou fori tor per apni doctor se rujoun karein ta ke aap ka barwaqt ilaaj kiya ja sake. Kyun ke cervical cancer ki agar bar waqt tashkhees ho jaye to ye marz qabil e elaj hai. Iss maqsad ke liye Pap tests yani cervical ka screening test karwa kar bhi aap cancer ke phailaon se pehle he iss ke andaishy ka pata laga sakte hain.

Is ke sath sath jaisa ke HPV virus cervical cancer ka sabab hone mein aik kirdar ada karta hai iss liye HPV ke khilaf vaccination karwana Cervical Cancer mein mousar sabit hota hai. Vaccination bachiyon mein 9 se 13 saal ki umer mein karwayi jati hai ta hum jadeed tahqeeq ke douran 26 se 40 saal ki khawateen mein bhi ye vaccine mousar dekhi gayi hai.

Mazeed paicheda surat e haal mein surgery, Chemotherapy aur Radiations ke zariye bhi Cervical Cancer ka ilaaj ki jata hai. Albata mukamal tashkees aur ilaaj ke liye bar waqt apne doctor se zaroor rojoun karein takay aap sehat mand zindagi guzar sakein!!



Back to List