Ibtedai Hamal Zaya Hony Se Depression

By:Zoya

Dosto! Baz auqat kuch paichidagiyon ki waja se har hamal kamyab nahi hota aur hamal ke beesawain haftay se pehle he hamal zaya ho jata hai. Hamal chahy takmeel tak na pohnchy magar maa hony ke naaty khawateen ka khas tor per ibtedai hamal ke waqt bachy se aik jazbati lagao ho jata hai, is liye ibtedai hamal zaya hony se aik jazbati aur nafsiyati jhatka lagna matwaqu hota hai. Aam tor per udasi aur gham ki kafiyat ibtedai hamal ke zaya hony se mansoob hoti hain. Lekin ye kafiyat baz auqat shadeed depression yani zehni dabao ka bais bhi ban sakti hain jo ainda zindagi per gehra asar dalta hai. Ibtedai hamal zaya hony ki waja se hony waly depression ki chand alamat mein shamil hai: ● Udaasi, Khalipan ya phir mayousi ki kafiyat tari hona ● Chirchary pan aur ehsas e kamtari ka shikar hona ● Thakan aur kamzori ka ehsas hona ● Roz marra ke kamon mein dil na lagna ● Bohat ziada ya bohat kam bhook lagna ● Neend bohat ziada ya bohat kam ana ● Hamal zaya hony ke liye khud ko mujrim samajhna ● Bechani aur besakooni ● Tawajo na rakh pana ● Faislay lenay mein mushkil ● Khudkushi ke khayalat ana ya khudkushi ki koshish karna ● Be waja dard ka ehsas hona aur ilaj ke bawajood dard khatam na hona Dosto depression ki ye alamat khawateen aur mardon yani maa aur baap dono mein he pai ja sakti. Sangeen nataij se bachnay ke liye inki barwaqt tashkees aur ilaj zaroori hai. Aiye jantay hain ke kin tareeqon se aap depression se lar saktay hain. ● Sab se pahle apne piyaron ya kisi qareebi shakhs se apna dukh banten ta ke aap ka gham andar he andar bharta na rahy. Is maqsad ke liye behtreen hal ye hai ke aap apne sahreek e hayat ke sath apne zehan ka bojh banten. ● Zehni dabao aur mizaaj mein behtri ke liye Doctor ke mashwary se anti-depreesent yani zehni dabao khatam karne wali adwiyat ka istemal karen. Ye adwiyat dimagh ke chemicals aur jism ke hormone ke afaal ko behtar banati hain. ● Psychotherapy yani nafsiyat ke doctor se ilaaj ke liye rujoo karen ta ke aap ke gham ko sehat mand tariky se door kiya ja saky. Dosto! Umeed karti hon k ibtedai hamal zaya hony ki waja se hony waly depression aur es ki alamat se bakhoobi waqif ho gaye hon gey aur un khawateen ki kaifiat ko samjh paaen gey aur madad kar paaen gey jo is sey guzar rahi hein. Mazid malumat ke liye Zoya ke sehat nama articles suntay rahiye.



Back to List